tilism
na jaane us ke 'uryāñ ābnūsī jism
umḌī chhātiyoñ meñ
dhund aur asrār se pur ghāTiyoñ meñ
aisā kyā thā
ki vo pahlū meñ aayā aur apne saath sāmān-e-fanā laayā
idhar mujh tak yakāyak
mujh se lā-parvāh
merī zindagī
masrūr-o-shādāñ is tarah aa.ī
ki mujh ko be-mahābā maut yaad aa.ī
na jaane us ke 'uryan aabnusi jism
umDi chhatiyon mein
dhund aur asrar se pur ghaTiyon mein
aisa kya tha
ki wo pahlu mein aaya aur apne sath saman-e-fana laya
idhar mujh tak yakayak
mujh se la-parwah
meri zindagi
masrur-o-shadan is tarah aai
ki mujh ko be-mahaba maut yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.