Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere liye

Jauhar Nizami

tere liye

Jauhar Nizami

MORE BYJauhar Nizami

    phir dil hai aaj ġharq-e-tamannā tire liye

    aa muztarib hai ishq duniyā tire liye

    vahshat baras rahī hai gulistāñ meñ har taraf

    hai chāk-chāk dāman-e-sahrā tire liye

    terī nigāh-e-mast mushtāq hai bahār

    sāġhar meñ hai ye larzish-e-sahbā tire liye

    muddat se ārzū-e-tamāshā hai sogvār

    muddat se mahv-e-dard hai duniyā tire liye

    dil aur chashm-e-shauq manzil ke darmiyāñ

    he masarratoñ darīcha tire liye

    ye chāñdnī ye mauj-e-ravāñ aur ye do jaam

    aa dekh ehtimām hai kyā kyā tire liye

    ye sabza-e-latīf ye bhīgī huī havā

    ik gulsitāñ hai sāhil-e-dariyā tire liye

    'jauhar' kahāñ hayāt ye kashmakash kahāñ

    hai merī zindagī tamanna tire liye

    phir dil hai aaj gharq-e-tamanna tere liye

    aa muztarib hai ishq ki duniya tere liye

    wahshat baras rahi hai gulistan mein har taraf

    hai chaak-chaak daman-e-sahra tere liye

    teri nigah-e-mast ki mushtaq hai bahaar

    saghar mein hai ye larzish-e-sahba tere liye

    muddat se aarzu-e-tamasha hai sogwar

    muddat se mahw-e-dard hai duniya tere liye

    dil aur chashm-e-shauq ki manzil ke darmiyan

    wa he masarraton ka daricha tere liye

    ye chandni ye mauj-e-rawan aur ye do jam

    aa dekh ehtimam hai kya kya tere liye

    ye sabza-e-latif ye bhigi hui hawa

    ek gulsitan hai sahil-e-dariya tere liye

    'jauhar' kahan hayat ki ye kashmakash kahan

    hai meri zindagi ki tamanna tere liye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now