Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tishnagi

Rasheed Akhtar

tishnagi

Rasheed Akhtar

MORE BYRasheed Akhtar

    ajab baat hai maiñ jab kabhī milā tum se

    kuchh aur tishna-labī baḌh ga.ī mire andar

    maiñ sochtā thā ki ik baar tum se milne par

    tamām pyaas har ik aarzū tamām tishna-labī

    qarār pā.egī bechain ruuh mirī

    magar maiñ tum se milā to baḌh ga.ī kuchh aur tishna-labī

    baḌā ajiib ehsās aur mahrūmī

    ye kaunsā jazba hai us naam hai kyā

    tavīl tar ho mulāqāt phir bhī tishna-labī

    mire ḳhayāl se merā vajūd tum meñ hai

    tumhāre qurb se takmīl merī hotī hai

    tumhārā hijr banā detā hai adhūrā mujhe

    maiñ apne aap ko phir se talāsh kartā huuñ

    ajab baat hai main jab kabhi mila tum se

    kuchh aur tishna-labi baDh gai mere andar

    main sochta tha ki ek bar tum se milne par

    tamam pyas har ek aarzu tamam tishna-labi

    qarar paegi bechain ruh meri

    magar main tum se mila to baDh gai kuchh aur tishna-labi

    baDa ajib sa ehsas aur mahrumi

    ye kaunsa jazba hai us ka nam hai kya

    tawil tar ho mulaqat phir bhi tishna-labi

    mere KHayal se mera wajud tum mein hai

    tumhaare qurb se takmil meri hoti hai

    tumhaara hijr bana deta hai adhura mujhe

    main apne aap ko phir se talash karta hun

    Source:

    Parinde Sochte Hain (Pg. 55)

    • Author: Rasheed Akhtar
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now