Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tishnagi

Niyaz Haidar

tishnagi

Niyaz Haidar

MORE BYNiyaz Haidar

    ye chhalaktā huā jaam

    maiñ ise na sakūñgā saaqī

    āzmā.ī huī shai

    zā.iqa talḳh

    asar phīkā hai

    chand lamhoñ surūr

    jaise ik māh-jabīñ doshīza

    muskurātī huī tezī se guzar jaatī hai

    chand lamhoñ surūr

    tishnagī sāġhar mai se bhī kahīñ jaatī hai

    toḌ de jām-o-subū

    tishnagī naam hai jiine

    mujhe jiine de

    tishnagī roz-e-azal se hai rafīq-e-dil-o-jāñ

    tishnagī vaj.h-e-talab

    zauq-e-talab husn-e-talab

    tishnagī par hai zamāne madār

    rāteñ jo āñkhoñ āñkhoñ meñ basar hotī haiñ

    rāteñ jo pichhle pahar ashkoñ se muñh dhotī haiñ

    sub.h hotī hai to jaatā hai sūraj un ko

    raat Dhal jaatī hai shabnam ke hasīñ qatroñ meñ

    sub.h-dam phūloñ ke lākhoñ sāġhar

    muntazir hote haiñ sūraj ke liye

    ye subūhī

    ki jise ke damak uThtā hai

    rū-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb

    shuā.eñ jis

    nāgineñ ban ke har ik buuñd ko jaatī haiñ

    buuñd aañsū ho

    shabnam

    kurra-e-arz pe baaqī nahīñ rahne paatī

    ḳhushk ho jaate haiñ sab

    gul-e-tar

    dīda-e-tar

    koī ḳhurshīd saffāk tapish jaa.e

    raat ke chāñd aalam dekho

    chāñd ik ghūñT meñ jaatā hai sūraj tapish

    shabnam-o-ashk duā karte haiñ

    ki zamāne meñ sahar ho na kabhī

    aur ye silsila-e-tishna-labī

    ai ḳhudā dahr meñ jaarī hai na jaane kab se

    kaise mānūñ

    lab-e-lālīñ ke hazāroñ bose

    ruuh pyaas bujhā sakte haiñ

    ishq sairāb nahīñ ho saktā

    ye chhalaktā huā jaam

    maiñ ise na sakūñgā saaqī

    ye chhalakta hua jam

    main ise pi na sakunga saqi

    aazmai hui shai

    zaiqa talKH

    asar phika hai

    chand lamhon ka surur

    jaise ek mah-jabin doshiza

    muskuraati hui tezi se guzar jati hai

    chand lamhon ka surur

    tishnagi saghar mai se bhi kahin jati hai

    toD de jam-o-subu

    tishnagi nam hai jine ka

    mujhe jine de

    tishnagi roz-e-azal se hai rafiq-e-dil-o-jaan

    tishnagi wajh-e-talab

    zauq-e-talab husn-e-talab

    tishnagi par hai zamane ka madar

    raaten jo aankhon hi aankhon mein basar hoti hain

    raaten jo pichhle pahar ashkon se munh dhoti hain

    subh hoti hai to pi jata hai suraj un ko

    raat Dhal jati hai shabnam ke hasin qatron mein

    subh-dam phulon ke lakhon saghar

    muntazir hote hain suraj ke liye

    ye subuhi

    ki jise pi ke damak uThta hai

    ru-e-KHurshid-e-jahan-tab

    shuaen jis ki

    naginen ban ke har ek bund ko pi jati hain

    bund aansu ki ho

    ya shabnam ki

    kurra-e-arz pe baqi nahin rahne pati

    KHushk ho jate hain sab

    gul-e-tar

    dida-e-tar

    koi KHurshid ki saffak tapish pi jae

    raat ke chand ka aalam dekho

    chand ek ghunT mein pi jata hai suraj ki tapish

    shabnam-o-ashk dua karte hain

    ki zamane mein sahar ho na kabhi

    aur ye silsila-e-tishna-labi

    ai KHuda dahr mein jari hai na jaane kab se

    kaise manun

    lab-e-lalin ke hazaron bose

    ruh ki pyas bujha sakte hain

    ishq sairab nahin ho sakta

    ye chhalakta hua jam

    main ise pi na sakunga saqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now