Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tishnagi

MORE BYAnees Ahmad Anees

    uTho hayāt pe ḳhanjar dhaar guzrī hai

    lahū būñdeñ Tapaktī haiñ zaḳhmī rūhoñ se

    siyāh raushnī meñ aur jaag uThī vahshat

    lahū meñ ghul ga.ī talḳhī diloñ pe naqsh bane

    ye saañs siine meñ ghaTtī huī lagtī hai

    ye roz-o-shab tafakkur ye saarī umr ghun

    hayāt uub ga.ī adl ke añdheroñ se

    kahāñ tak adl zanjīr khīñchte jaa.eñ

    sadā.eñ lauTtī haiñ bām-o-dar se Takrā kar

    inān-e-mulk paḌī hai hinā.ī hāthoñ meñ

    koī to haq kiran phūTe zulm shab meñ

    nigāh-e-amn-o-amāñ tishna-bār hai ab tak

    uTho hayat pe KHanjar ki dhaar guzri hai

    lahu ki bunden Tapakti hain zaKHmi ruhon se

    siyah raushni mein aur jag uThi wahshat

    lahu mein ghul gai talKHi dilon pe naqsh bane

    ye sans sine mein ghaTti hui mi lagti hai

    ye roz-o-shab ka tafakkur ye sari umr ka ghun

    hayat ub gai adl ke andheron se

    kahan tak adl ki zanjir khinchte jaen

    sadaen lauTti hain baam-o-dar se Takra kar

    inan-e-mulk paDi hai hinai hathon mein

    koi to haq ki kiran phuTe zulm ki shab mein

    nigah-e-amn-o-aman tishna-bar hai ab tak

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 64)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now