to kya wo raat Dhal gai
tavīl vaqt ho gayā hazār din guzar ga.e
to kyā vo raat Dhal ga.ī to kyā vo zaḳhm bhar ga.e
mire tamām chārāgar isī gumāñ meñ haiñ ki maiñ
shab-e-firāq-e-yār ko shikast-e-kār de chukā
magar unheñ ḳhabar kahāñ ki ye shab-e-firāq-e-jāñ
abhī to apnī 'umr ke shurū' marhale meñ hai
abhī to āmad-e-sahar kī koī aas bhī nahīñ
abhī to mausam-e-bahār ās-pās bhī nahīñ
abhī to us kī yaad ke nuqūsh pesh-o-pas meñ haiñ
abhī to dil kī dhaḌkaneñ usī kī dastaras meñ haiñ
shab-e-sitam darāz hai jigar khapāyā jā.egā
abhī to us ke hijr meñ lahū bahāyā jā.egā
tawil waqt ho gaya hazar din guzar gae
to kya wo raat Dhal gai to kya wo zaKHm bhar gae
mere tamam chaaragar isi guman mein hain ki main
shab-e-firaq-e-yar ko shikast-e-kar de chuka
magar unhen KHabar kahan ki ye shab-e-firaq-e-jaan
abhi to apni 'umr ke shuru' marhale mein hai
abhi to aamad-e-sahar ki koi aas bhi nahin
abhi to mausam-e-bahaar aas-pas bhi nahin
abhi to us ki yaad ke nuqush pesh-o-pas mein hain
abhi to dil ki dhaDkanen usi ki dastaras mein hain
shab-e-sitam daraaz hai jigar khapaya jaega
abhi to us ke hijr mein lahu bahaya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.