Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tohfa

MORE BYAnjum Shakeel

    mire dost ne

    mujh ko tohfa diyā

    ek surḳh aur sundar gulāb

    mire janm din se kuchh is ta'alluq na thā

    ye thā shukriye nishānī

    ki maiñ ne jo kuchh us imdād thī

    vo gul rakh diyā maiñ ne ik ḳhūbsūrat se bartan ke andar

    ye bartan thā vaise baḌā ḳhūbsūrat

    magar us gul-e-surḳh jaisā na thā

    ye kaalā thā bas jaise kavvā pahāḌī

    vo taḳhlīq qudrat

    sundar suhānī

    mire dhuñdle kamre meñ laa.ī

    ḳhushī kiran

    āftābī chamak phuvār

    aur mast kartī mahak

    jis ne har āte-jāte ko mas.hūr kar diyā

    maiñ ne us ko baḌā be-intihā pyaar baḳhshā

    us ko paanī diyā dekhā-bhālā

    merā din shurūa hotā thā

    us ḳhushnumā tohfe par

    mohabbat-bharī sarsarī nazar Dālne se

    magar in sabhī ke liye

    phir mujhe kyā milā

    ek din jo bilā-alvidā.a kahe

    phuul murjhā gayā phuul mar gayā

    mere dost ne

    mujh ko tohfa diya

    ek surKH aur sundar gulab

    mere janm din se kuchh is ka ta'alluq na tha

    ye tha shukriye ki nishani

    ki main ne jo kuchh us ki imdad ki thi

    wo gul rakh diya main ne ek KHubsurat se bartan ke andar

    ye bartan tha waise baDa KHubsurat

    magar us gul-e-surKH jaisa na tha

    ye kala tha bas jaise kawwa pahaDi

    wo taKHliq qudrat ki

    sundar suhani

    mere dhundle kamre mein lai

    KHushi ki kiran

    aaftabi chamak ki phuwar

    aur mast karti mahak

    jis ne har aate-jate ko mashur sa kar diya

    main ne us ko baDa be-intiha pyar baKHsha

    us ko pani diya dekha-bhaala

    mera din hi shurua hota tha

    us KHushnuma tohfe par

    mohabbat-bhari sarsari nazar Dalne se

    magar in sabhi ke liye

    phir mujhe kya mila

    ek din jo bila-alwidaa hi kahe

    phul murjha gaya phul mar hi gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now