Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwaren

Balraj Komal

diwaren

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    kahte haiƱ sab log

    hote haiƱ

    dīvāroƱ ke kaan

    kamroƱ kī tanhā.ī meƱ

    sargoshī meƱ kyā kyā bāteƱ karte haiƱ

    chhup chhup kar jab log

    dīvāreƱ sab sun letī haiƱ

    sun lete haiƱ log

    dīvāroƱ kī aaƱkh bhī hotī hai

    kitnā achchhā hotā

    aaƱkh hai kaan se behtar shāyad

    kamre kā ho yā phir chaltī rāhguzar kā

    nazzāra to nazzāra hai

    manzar āḳhir manzar hai

    kyā kyā karte log

    dekhā karte log

    dīvāroƱ ke bāhar se

    tārīkī meƱ dīvāroƱ kī jānib jab bhī qadam uThāte

    lamha-bhar ko mumkin hai

    sochā karte log

    kahte hain sab log

    hote hain

    diwaron ke kan

    kamron ki tanhai mein

    sargoshi mein kya kya baaten karte hain

    chhup chhup kar jab log

    diwaren sab sun leti hain

    sun lete hain log

    diwaron ki aankh bhi hoti hai

    kitna achchha hota

    aankh hai kan se behtar shayad

    kamre ka ho ya phir chalti rahguzar ka

    nazzara to nazzara hai

    manzar aaKHir manzar hai

    kya kya karte log

    dekha karte log

    diwaron ke bahar se

    tariki mein diwaron ki jaanib jab bhi qadam uThate

    lamha-bhar ko mumkin hai

    socha karte log

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now