ab so jao
ab so jaao
aur apne haath ko mere haath meñ rahne do
tum chāñd se māthe vaale ho
aur achchhī qismat rakhte ho
bachche kī sau bholī sūrat
ab tak zid karne kī aadat
kuchh khoī khoī sī bāteñ
kuchh siine meñ chubhtī yādeñ
ab inheñ bhulā do so jaao
aur apne haath ko mere haath meñ rahne do
so jaao tum shahzāde ho
aur kitne Dheroñ pyāre ho
achchhā to koī aur bhī thī
achchhā phir baat kahāñ niklī
kuchh aur bhī yādeñ bachpan kī
kuchh apne ghar ke āñgan kī
sab batlā do phir so jaao
aur apne haath ko mere haath meñ rahne do
ye ThanDī saañs havāoñ kī
ye jhilmil kartī ḳhāmoshī
ye Dhaltī raat sitāroñ kī
biite na kabhī tum so jaao
aur apne haath ko mere haath meñ rahne do
ab so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do
tum chand se mathe wale ho
aur achchhi qismat rakhte ho
bachche ki sau bholi surat
ab tak zid karne ki aadat
kuchh khoi khoi si baaten
kuchh sine mein chubhti yaaden
ab inhen bhula do so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do
so jao tum shahzade ho
aur kitne Dheron pyare ho
achchha to koi aur bhi thi
achchha phir baat kahan nikli
kuchh aur bhi yaaden bachpan ki
kuchh apne ghar ke aangan ki
sab batla do phir so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do
ye ThanDi sans hawaon ki
ye jhilmil karti KHamoshi
ye Dhalti raat sitaron ki
bite na kabhi tum so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.