waqt se pahle
yuuñ to har rishte kā anjām yahī hotā hai
phuul khiltā hai
mahaktā hai
bikhar jaatā hai
tum se vaise to nahīñ koī shikāyat
lekin
shāḳh ho sabz
to hassās fazā hotī hai
har kalī zaḳhm kī sūrat hī judā hotī hai
tum ne
be-kār hī mausam ko satāyā varna
phuul jab khil ke mahak jaatā hai
ḳhud-ba-ḳhud
shāḳh se gir jaatā hai
yun to har rishte ka anjam yahi hota hai
phul khilta hai
mahakta hai
bikhar jata hai
tum se waise to nahin koi shikayat
lekin
shaKH ho sabz
to hassas faza hoti hai
har kali zaKHm ki surat hi juda hoti hai
tum ne
be-kar hi mausam ko sataya warna
phul jab khil ke mahak jata hai
KHud-ba-KHud
shaKH se gir jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.