Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

touch screen

Bilal Aswad

touch screen

Bilal Aswad

MORE BYBilal Aswad

    maiñ apnī shā.irī

    ik diary meñ note kartā thā

    koī ehsās mujh meñ nazm bhartā

    koī misra utartā thā

    to sab se pahle mujh ko

    note-bōk darkār hotī thī

    jahāñ kāġhaz hiddat se

    qalam raushnā.ī harārat se

    ġhazal tayyār hotī thī

    binā is dhīmī dhīmī aañch ke

    mere liye har nazm dushvār hotī thī

    phir ik din mujh ko chāchā-zād bhaa.ī ne ye batlāyā

    vo ḳhud bhī naujavāñ urdu shā.ir hai

    vo apnī shā.irī cell-phone meñ mahfūz kartā hai

    so jab chāhe use paḌhtā hai

    auroñ se share karke unheñ mahzūz kartā hai

    use bijlī ke aane jaane se

    kuchh farq paḌtā nahīñ

    na use din raat se kuchh lenā denā hai

    use jab shā.irī karnī ho

    to kāġhaz qalam khoj meñ

    lamha talak zaa.e.a nahīñ kartā

    jahāñ vo sher apnā note kartā hai

    añdherā bhī vahāñ saaya nahīñ kartā

    so us baat sun kar

    maiñ ne apnī Diary sambhāl

    aur apne mobile meñ misra likhte likhte

    dost ik kaal

    phir kaal ghanToñ tak chalī

    be-kār ḳhvāhish vo misra puurā karne

    mere andar palī

    lekin vo phir jaatī rahī

    phir yuuñ huā jab bhī koī ilhām

    mere dar ko khaTkātā rahā

    jab kaifiyat koī mere ehsās tak aatī rahī

    maiñ us samay

    cell-phone ko DhūñDā kiyā

    lekin vahāñ ehsās ko ik rabt meñ

    tahrīr kar paane se pahle

    bīsoñ be-rabt behis notifications

    merī scrēn par zāhir hue

    aur ham hamesha ke liye kuchh likhne se qāsir hue

    gum ho ga.e in be-hisoñ fauj meñ

    aa.ī na merī shā.irī phir mauj meñ

    ab sochtā huuñ kyā purānī diary behtar nahīñ

    dīvān merā phone ke andar nahīñ

    touch scrēn ke us paar hai

    shāyad mere alfāz yak-bastagī ko

    sirf kāġhaz tapish darkār hai

    main apni shairi

    ek diary mein note karta tha

    koi ehsas mujh mein nazm bharta

    ya koi misra utarta tha

    to sab se pahle mujh ko

    note-book darkar hoti thi

    jahan kaghaz ki hiddat se

    qalam ki raushnai ki hararat se

    ghazal tayyar hoti thi

    bina is dhimi dhimi aanch ke

    mere liye har nazm hi dushwar hoti thi

    phir ek din mujh ko chacha-zad bhai ne ye batlaya

    wo KHud bhi naujawan urdu ka shair hai

    wo apni shairi cell-phone mein mahfuz karta hai

    so jab chahe use paDhta hai

    auron se share karke unhen mahzuz karta hai

    use bijli ke aane jaane se

    kuchh farq paDta hi nahin

    na hi use din raat se kuchh lena dena hai

    use jab shairi karni ho

    to kaghaz qalam ki khoj mein

    lamha talak zaea nahin karta

    jahan wo sher apna note karta hai

    andhera bhi wahan saya nahin karta

    so us ki baat sun kar

    main ne apni Diary sambhaal li

    aur apne mobile mein misra likhte likhte

    dost ki ek kal li

    phir kal ghanTon tak chali

    be-kar ki KHwahish wo misra pura karne ki

    mere andar pali

    lekin wo phir jati rahi

    phir yun hua jab bhi koi ilham

    mere dar ko khaTkata raha

    jab kaifiyat koi mere ehsas tak aati rahi

    main us samay

    cell-phone ko DhunDa kiya

    lekin wahan ehsas ko ek rabt mein

    tahrir kar pane se pahle

    bison be-rabt behis notifications

    meri screen par zahir hue

    aur hum hamesha ke liye kuchh likhne se qasir hue

    gum ho gae in be-hison ki fauj mein

    aai na meri shairi phir mauj mein

    ab sochta hun kya purani diary behtar nahin

    diwan mera phone ke andar nahin

    touch screen ke us par hai

    shayad mere alfaz ki yak-bastagi ko

    sirf kaghaz ki tapish darkar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now