aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe KHud se alag kaise karun main

Chandra Shekhar Varma

tujhe KHud se alag kaise karun main

Chandra Shekhar Varma

MORE BYChandra Shekhar Varma

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ meñ

    tujhe jab khīñchtā huuñ ḳhud se bāhar

    khiñchā aatā huuñ maiñ bhī saath tere

    ajab jism merā ho gayā hai

    hai jis meñ paañv mere haath tere

    zabāñ apnī agar ḳhāmosh kar duuñ

    tirī bāteñ ishāre bolte haiñ

    jigar jaañ dil nazar jis ko bhī dekho

    tirā naam saare bolte haiñ

    huī hai jazb mujh meñ is qadar

    maiñ huuñ aḳhbār to merī ḳhabar

    ab apne safhoñ meñ tujh ko paḌhūñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    ragoñ meñ ab ''merī terā lahū hai

    mirī sūrat bhī tujh hū-ba-hū hai

    bahut arse se ḳhud meñ maiñ huuñ ġhā.eb

    sarāpā jism meñ ab hai

    makāñ huuñ maiñ bām-o-dar hai merā

    ḳhadd-o-ḳhāl hai paikar hai merā

    ye tere ishq har asar hai

    jamāl-o-rañg sab behtar hai merā

    vajūd aksar maiñ apnā bhūltā huuñ

    bharam meñ tere ḳhud ko chūmtā huuñ

    tirī vahshat meñ paañv sukūñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    hai merī raat meñ ab niiñd terī

    ham ik duuje meñ yuuñ kho.e hue haiñ

    hamāre ḳhvāb bhī ik dūsre ke

    badan ko oḌh kar so.e hue haiñ

    mire takiye meñ terī ḳhushbueñ haiñ

    mirī chādar pe terī silvaTeñ haiñ

    rahtī hai mire pahlū meñ har dam

    mire bistar pe terī karvaTeñ haiñ

    ho shāmeñ roz rāteñ sahar ho

    koī bhī vaqt ho koī pahar ho

    tasavvur meñ tire Duubā rahūñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    ye kahne ko hai merī dāstāñ par

    sabhī aurāq meñ qisse haiñ tere

    hai nā-mumkin inheñ gin paa.e koī

    mere andar ka.ī qisse haiñ tere

    badan huuñ maiñ merī añgḌā.ī hai

    mere ehsās ra.anā.ī hai

    badaulat tere duniyā dekhtā huuñ

    nazar nuur hai bīnā.ī hai

    munavvar ho gayā bin rañg roġhan

    merā chehra tere javoñ se raushan

    tirī raunaq meñ duniyā ko dikhūñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    maiñ shā.ir mirī rūmāniyat hai

    maiñ fursat mirī masrūfiyat hai

    merī taqrīr meñ tere qasīde

    mirī tahrīr meñ terī sifat hai

    merī har baat hai tārīf terī

    merā har lafz terī kaifiyat hai

    meñ sāmāñ huuñ to qīmat hai merī

    maiñ rutba huuñ to merī haisiyat hai

    simaTtī hai vahāñ har fikr merī

    jahāñ bol de sab ḳhairiyat hai

    duāoñ meñ tirā naam luuñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    kalā.ī meñ to chauḌī khanaknā

    ġharaz meñ ā.īna to hai sañvarnā

    maiñ jaise dasht meñ huuñ raah koī

    to is par ik musāfir guzarnā

    maiñ jaise taal detā saaz koī

    to raqqāsa is lai par thiraknā

    maiñ huuñ be-nūr ik jhiil aur

    hai is par māh-e-kāmil utarnā

    chehra ḳhūbsūrat maiñ huuñ parda

    merā maqsad tujhe mahfūz rakhnā

    terī zīnat pahre-dār huuñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    zabāñ urdu meñ merī nafāsat

    agar maiñ lucknow hai nazākat

    re.āyā huuñ maiñ is suube jis meñ

    hamesha se rahī terī hukūmat

    agar maiñ sar huuñ to dastār hai

    maiñ vo shamshīr jis dhaar hai

    maiñ huuñ poshāk hai itr merā

    maiñ huuñ roza to phir iftār hai

    mahīna maiñ agar ramzān to

    mubārak eid tyauhār hai

    nazīreñ aur kitnī terī duuñ maiñ

    tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ

    tujhe KHud se alag kaise karun mein

    tujhe jab khinchta hun KHud se bahar

    khincha aata hun main bhi sath tere

    ajab sa jism mera ho gaya hai

    hai jis mein panw mere hath tere

    zaban apni agar KHamosh kar dun

    teri baaten ishaare bolte hain

    jigar jaan dil nazar jis ko bhi dekho

    tera hi nam sare bolte hain

    hui hai jazb mujh mein is qadar tu

    main hun aKHbar to meri KHabar tu

    ab apne safhon mein tujh ko paDhun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    ragon mein ab meri tera lahu hai

    meri surat bhi tujh si hu-ba-hu hai

    bahut arse se KHud mein main hun ghaeb

    sarapa jism mein ab tu hi tu hai

    makan hun main tu baam-o-dar hai mera

    tu KHadd-o-KHal hai paikar hai mera

    ye tere ishq ka har su asar hai

    jamal-o-rang sab behtar hai mera

    wajud aksar main apna bhulta hun

    bharam mein tere KHud ko chumta hun

    teri wahshat mein hi panw sukun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    hai meri raat mein ab nind teri

    hum ek duje mein yun khoe hue hain

    hamare KHwab bhi ek dusre ke

    badan ko oDh kar soe hue hain

    mere takiye mein teri KHushbuen hain

    meri chadar pe teri silwaTen hain

    tu rahti hai mere pahlu mein har dam

    mere bistar pe teri karwaTen hain

    ho shamen roz raaten ya sahar ho

    koi bhi waqt ho koi pahar ho

    tasawwur mein tere Duba rahun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    ye kahne ko hai meri dastan par

    sabhi auraq mein qisse hain tere

    hai na-mumkin inhen gin pae koi

    mere andar kai qisse hain tere

    badan hun main meri angDai hai tu

    mere ehsas ki ranai hai tu

    badaulat tere duniya dekhta hun

    nazar ka nur hai binai hai tu

    munawwar ho gaya bin rang roghan

    mera chehra tere jawon se raushan

    teri raunaq mein duniya ko dikhun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    main shair tu meri rumaniyat hai

    main fursat tu meri masrufiyat hai

    meri taqrir mein tere qaside

    meri tahrir mein teri sifat hai

    meri har baat hai tarif teri

    mera har lafz teri kaifiyat hai

    mein saman hun to tu qimat hai meri

    main rutba hun to meri haisiyat hai

    simaTti hai wahan har fikr meri

    jahan tu bol de sab KHairiyat hai

    duaon mein tera hi nam lun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    kalai mein to chauDi ka khanakna

    gharaz mein aaina to hai sanwarna

    main jaise dasht mein hun rah koi

    to is par ek musafir ka guzarna

    main jaise tal deta saz koi

    to raqqasa ka is lai par thirakna

    main hun be-nur si ek jhil aur tu

    hai is par mah-e-kaamil ka utarna

    tu chehra KHubsurat main hun parda

    mera maqsad tujhe mahfuz rakhna

    teri zinat ka pahre-dar hun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    zaban urdu mein tu meri nafasat

    agar main lucknow tu hai nazakat

    reaya hun main is sube ka jis mein

    hamesha se rahi teri hukumat

    agar main sar hun to dastar tu hai

    main wo shamshir jis ki dhaar tu hai

    main hun poshak tu hai itr mera

    main hun roza to phir iftar tu hai

    mahina main agar ramzan ka to

    mubarak eid ka tyauhaar tu hai

    naziren aur kitni teri dun main

    tujhe KHud se alag kaise karun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now