Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tulua

MORE BYZia Jalandhari

    kise yaqīñ thā ki palTegī raat kaayā

    kaTī to raat magar ek ek pal gin gin

    ufuq pe aa.ī bhī thī surḳhi-e-sahar lekin

    sahar ke saath abr-e-siyāh bhī aayā

    sahar ke saath hadd-e-nigāh tak chhāyā

    ye kyā ġhazab hai ki ab tīra-tar hai raat se din

    zamāna shoḳh shuāo udaas hai tum bin

    bas ik jhalak ki uThe sar se ye ghanā saayā

    ye Dar bhī hai ki shuā.eñ na jagmagā uTTheñ

    koī shuā.a jo uThī bhī le ke añgḌā.ī

    aur uTh ke ālam-e-tārīk meñ vo dar aa.ī

    aa ke dekhegī hai nūr-o-be-basar āñkheñ

    nahīñ hai jan ke liye farq nūr-o-zulmat meñ

    ki ab haiñ ḳhvāb-e-adam meñ sahar ke saudā.ī

    kise yaqin tha ki palTegi raat ki kaya

    kaTi to raat magar ek ek pal gin gin

    ufuq pe aai bhi thi surKHi-e-sahar lekin

    sahar ke sath hi abr-e-siyah bhi aaya

    sahar ke sath hi hadd-e-nigah tak chhaya

    ye kya ghazab hai ki ab tira-tar hai raat se din

    zamana shoKH shuao udas hai tum bin

    bas ek jhalak ki uThe sar se ye ghana saya

    ye Dar bhi hai ki shuaen na jagmaga uTThen

    koi shuaa jo uThi bhi le ke angDai

    aur uTh ke aalam-e-tarik mein wo dar aai

    tu aa ke dekhegi hai nur-o-be-basar aankhen

    nahin hai jan ke liye farq nur-o-zulmat mein

    ki ab hain KHwab-e-adam mein sahar ke saudai

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 101)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now