Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum kaho to kahun

Javaid Anwar

tum kaho to kahun

Javaid Anwar

MORE BYJavaid Anwar

    harf ke taar meñ jitne aañsū piro.e ga.e

    dard un se fuzūñ thā

    suno to kahūñ

    tum kaho to kahūñ zarf dāstāñ

    ketiyoñ ko gila bādaloñ se nahīñ sūrajoñ se bhī thā

    bāzūoñ se bhī thā hal pakaḌne se pahle jo thak ga.e

    kisht-e-zar-ḳhez par āb-e-namkīn jam gayā

    raqs tham gayā

    eḌiyāñ ghūmte ghūmte ruk ga.iiñ

    ashk ruḳhsār ghāTiyoñ se girā munjamid ho gayā

    rañg ḳhushbū banā to havā chal paḌī

    ḳhvāb naata banā to khulī khiḌkiyoñ meñ salāḳheñ ugiiñ

    haath zaḳhmī hue

    kis ke kashkol se kitne sikke gire

    hijr kaisā parinde āñkhoñ meñ thā

    ghaav kaise pahāḌoñ ke siine pe the

    aa.ina guñg thā

    farsh par aks dham se girā

    kirchiyāñ ho gayā

    tum kaho to ginūñ

    tum kaho to chunūñ

    tum kaho to sunūñ in khule phuul dhaḌkaneñ

    gum-shuda titliyoñ sadā

    zard Tahnī ke hoñToñ pe rakkhī huī bad-duā

    āsmānoñ dahlīz par pheñk duuñ

    tum kaho to dikhā.ūñ tumheñ

    ik tamāsha ki jo merī muTThī meñ hai

    ek gardan ki jo ġham ke phande meñ hai

    saañs chaltī bhī hai aur chaltī nahīñ

    jaañ nikaltī nahīñ

    harf ke tar mein jitne aansu piroe gae

    dard un se fuzun tha

    suno to kahun

    tum kaho to kahun zarf ki dastan

    ketiyon ko gila baadalon se nahin surajon se bhi tha

    bazuon se bhi tha hal pakaDne se pahle hi jo thak gae

    kisht-e-zar-KHez par aab-e-namkin jam sa gaya

    raqs tham sa gaya

    eDiyan ghumte ghumte ruk gain

    ashk ruKHsar ki ghaTiyon se gira munjamid ho gaya

    rang KHushbu bana to hawa chal paDi

    KHwab nata bana to khuli khiDkiyon mein salaKHen ugin

    hath zaKHmi hue

    kis ke kashkol se kitne sikke gire

    hijr kaisa parinde ki aankhon mein tha

    ghaw kaise pahaDon ke sine pe the

    aaina gung tha

    farsh par aks dham se gira

    kirchiyan ho gaya

    tum kaho to ginun

    tum kaho to chunun

    tum kaho to sunun in khule phul ki dhaDkanen

    gum-shuda titliyon ki sada

    zard Tahni ke honTon pe rakkhi hui bad-dua

    aasmanon ki dahliz par phenk dun

    tum kaho to dikhaun tumhein

    ek tamasha ki jo meri muTThi mein hai

    ek gardan ki jo gham ke phande mein hai

    sans chalti bhi hai aur chalti nahin

    jaan nikalti nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now