Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare baad

Siya sachdev

tumhaare baad

Siya sachdev

MORE BYSiya sachdev

    tumhāre ba.ad ajab kashmakash meñ rahtī huuñ

    maiñ kyā batā.ūñ ke jo talḳhiyāñ maiñ sahtī huuñ

    nizām-e-zindagī badlā huā lagtā hai

    ki lamha lamha mujhe ba-duā lagtā hai

    vo log jin ke liye maiñ kabhī mubārak thī

    ab un ke vāste maiñ ek fel-e-bad jaisī

    ke ḳhud pe bhī mujhe kuchh haq nahīñ rahā jaise

    hañsī-ḳhushī zamāna bichhaḌ gayā jaise

    akelā-pan bhī hiqārat se dekhtā hai mujhe

    jise bhī dekhiye hairat se dekhtā hai mujhe

    jaise haq nahīñ koī mujh ko jiine

    kisī ko zaḳhm nahīñ dikh rahā hai siine

    mire vajūd meñ tanhā.ī kaisī gūñjī hai

    udāsiyāñ tire ba.ad merī pūñjī hai

    ye merī bevgī koī gunāh ho jaise

    har ik nigāh mujhe dekhtī hai ab aise

    ke jaise haath meñ mere mirā muqaddar thā

    vo sāneha bhī koī jaise jurm thā merā

    kyā merā naata bhī koī samāj se na rahā

    kyā merā vāsta rasm-o-rivāj se na rahā

    mirā vajūd ḳhud mujh pe tanz kartā hai

    ye merā saaya bhī kyuuñ aaj mujh se Dartā hai

    mirā har apnā bhī manhūs kah rahā hai mujhe

    mire is haal shāyad kuchh pata ho tujhe

    tumhaare baad ajab kashmakash mein rahti hun

    main kya bataun ke jo talKHiyan main sahti hun

    nizam-e-zindagi badla hua sa lagta hai

    ki lamha lamha mujhe ba-dua sa lagta hai

    wo log jin ke liye main kabhi mubarak thi

    ab un ke waste main ek fel-e-bad jaisi

    ke KHud pe bhi mujhe kuchh haq nahin raha jaise

    hansi-KHushi ka zamana bichhaD gaya jaise

    akela-pan bhi hiqarat se dekhta hai mujhe

    jise bhi dekhiye hairat se dekhta hai mujhe

    ki jaise haq hi nahin koi mujh ko jine ka

    kisi ko zaKHm nahin dikh raha hai sine ka

    mere wajud mein tanhai kaisi gunji hai

    udasiyan hi tere baad meri punji hai

    ye meri bewgi koi gunah ho jaise

    har ek nigah mujhe dekhti hai ab aise

    ke jaise hath mein mere mera muqaddar tha

    wo saneha bhi koi jaise jurm tha mera

    kya mera nata bhi koi samaj se na raha

    kya mera wasta rasm-o-riwaj se na raha

    mera wajud hi KHud mujh pe tanz karta hai

    ye mera saya bhi kyun aaj mujh se Darta hai

    mera har apna bhi manhus kah raha hai mujhe

    mere is haal ka shayad hi kuchh pata ho tujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now