Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein aazad karti hun

Farhat Parveen

tumhein aazad karti hun

Farhat Parveen

MORE BYFarhat Parveen

    suno koī uzr mat DhūñDo na nazreñ churāo tum

    mujhe mālūm hai maiñ sab samajhtī huuñ

    tumhāre ahd-e-ulfat se tumheñ āzād kartī huuñ

    ab aisā hai ki patthar zamāna phir se lauT aayā

    vahī qānūn jangal jibillat ġhulām insāñ

    farāz-e-ishq se pātāl tak hai safar ya.anī

    firāq-o-hijr ke mausam hue pārīna qisse ab

    ba-kasrat haiñ mayassar ab to māshūqān-e-shīrīñ-lab

    maiñ huuñ hairat-zada ab tak

    vo kaise log the āḳhir

    lahū se kar ga.e rangīn jo ulfat ke qissoñ ko

    ajab rah nikālī thī

    vafā rasm Daalī thī

    maiñ qissa-go abhī tak dāstānoñ meñ rahtī huuñ

    vahī rasmeñ nibhātī huuñ vahī dukh dard sahtī huuñ

    magar maiñ ahd-e-hāzir ke ravayyoñ se bhī vāqif huuñ

    suno koī uzr mat DhūñDo na nazreñ churāo tum

    mujhe mālūm hai maiñ sab samajhtī huuñ

    tumhāre ahd-e-ulfat se tumheñ āzād kartī huuñ

    suno koi uzr mat DhunDo na hi nazren churao tum

    mujhe malum hai main sab samajhti hun

    tumhaare ahd-e-ulfat se tumhein aazad karti hun

    ab aisa hai ki patthar ka zamana phir se lauT aaya

    wahi qanun jangal ka jibillat ka ghulam insan

    faraaz-e-ishq se patal tak ka hai safar yani

    firaq-o-hijr ke mausam hue parina qisse ab

    ba-kasrat hain mayassar ab to mashuqan-e-shirin-lab

    main hun hairat-zada ab tak

    wo kaise log the aaKHir

    lahu se kar gae rangin jo ulfat ke qisson ko

    ajab hi rah nikali thi

    wafa ki rasm Dali thi

    main qissa-go abhi tak dastanon mein hi rahti hun

    wahi rasmen nibhati hun wahi dukh dard sahti hun

    magar main ahd-e-hazir ke rawayyon se bhi waqif hun

    suno koi uzr mat DhunDo na hi nazren churao tum

    mujhe malum hai main sab samajhti hun

    tumhaare ahd-e-ulfat se tumhein aazad karti hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now