Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu KHafa ho to bahut dur kahin

Iman Qaisrani

tu KHafa ho to bahut dur kahin

Iman Qaisrani

MORE BYIman Qaisrani

    rāste gard meñ aTte hue raahī se bichhaḌ jaate haiñ

    ḳhuun rotī huī āñkhoñ meñ kahīñ shaam utar jaatī hai

    āsmāñ ke sabhī jhilmil se munavvar taare

    raakh ban kar kisī tārīk samundar meñ bhaTak jaate haiñ

    phuul jo shāḳh zīnat the bikhar jaate haiñ

    ajnabī des meñ phir duur bahut duur kahīñ

    ek hañstā munavvar chehra

    kaisī tārīk udāsī meñ utar jaatā hai

    us jaltī huī āñkhoñ pighaltā kājal

    ashk ban kar kahīñ takiye pe bikhar jaatā hai

    jal-tarañg jaisī hañsī shoḳh tabassum us

    aisā lagtā hai ghane dard meñ kho jaatā hai

    us palkoñ pe machalte aañsū

    thak ke phir hijr dahlīz pe so jaate haiñ

    aur vo kitne dinoñ tak ḳhud ko

    niim tārīk se kamre meñ muqayyad kar ke

    zahr ke jaam piyā kartī hai

    niiñd aur ḳhvāb ke mābain sulagte pal meñ

    bas tujhe yaad kiyā kartī hai

    ik tirā naam liyā kartī hai

    us āñkhoñ meñ tire naam ko sun kar aksar

    aisā lagtā hai hazāroñ diye jalte haiñ

    us duniyā ke suhāne manzar

    naqsh bante haiñ tirī yaad ke sañg chalte haiñ

    hañste gaate hue jugnū panchhī

    ābshāroñ tarannum jaise

    apnī hastī takallum jaise

    saut-o-āhang ke sab rang hamesha ke liye

    dard-o-āshob āvāz meñ Dhal jaate haiñ

    ḳhafā ho to bahut duur bahut duur kahīñ

    ek laḌkī ke shab-o-roz badal jaate haiñ

    raste gard mein aTte hue rahi se bichhaD jate hain

    KHun roti hui aankhon mein kahin sham utar jati hai

    aasman ke sabhi jhilmil se munawwar tare

    rakh ban kar kisi tarik samundar mein bhaTak jate hain

    phul jo shaKH ki zinat the bikhar jate hain

    ajnabi des mein phir dur bahut dur kahin

    ek hansta sa munawwar chehra

    kaisi tarik udasi mein utar jata hai

    us ki jalti hui aankhon ka pighalta kajal

    ashk ban kar kahin takiye pe bikhar jata hai

    jal-tarang jaisi hansi shoKH tabassum us ka

    aisa lagta hai ghane dard mein kho jata hai

    us ki palkon pe machalte aansu

    thak ke phir hijr ki dahliz pe so jate hain

    aur wo kitne dinon tak KHud ko

    nim tarik se kamre mein muqayyad kar ke

    zahr ke jam piya karti hai

    nind aur KHwab ke mabain sulagte pal mein

    bas tujhe yaad kiya karti hai

    ek tera nam liya karti hai

    us ki aankhon mein tere nam ko sun kar aksar

    aisa lagta hai hazaron hi diye jalte hain

    us ki duniya ke suhane manzar

    naqsh bante hain teri yaad ke sang chalte hain

    hanste gate hue jugnu panchhi

    aabshaaron ka tarannum jaise

    apni hasti ka takallum jaise

    saut-o-ahang ke sab rang hamesha ke liye

    dard-o-ashob ki aawaz mein Dhal jate hain

    tu KHafa ho to bahut dur bahut dur kahin

    ek laDki ke shab-o-roz badal jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now