Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu mera ishq hai haqiqat hai

Akhtar Azad

tu mera ishq hai haqiqat hai

Akhtar Azad

MORE BYAkhtar Azad

    mirā ishq hai haqīqat hai

    mujh ko tujh se baḌī mohabbat hai

    zikr terā hai har fasāne meñ

    ḳhud ko khoyā hai tujh ko paane meñ

    husn terā shabāb terā hai

    aur rakkhā hai kyā zamāne meñ

    bin tire zindagī adhūrī hai

    pyaar terā bahut zarūrī hai

    mirī zindagī chāhat hai

    mujh ko tujh se baḌī mohabbat hai

    merī chāhat hai justujū hai

    merī hasrat hai aarzū hai

    mirī dhaḌkanoñ meñ shāmil hai

    merī nazroñ ke rū-ba-rū hai

    terī zulfoñ meñ kho gayā huuñ maiñ

    terī āñkhoñ ho gayā huuñ maiñ

    vafā hasīn mūrat hai

    mujh ko tujh se baḌī mohabbat hai

    maiñ azal se tirā tamannā.ī

    tere jalvoñ maiñ huuñ shaidā.ī

    sach to ye hai ḳhudā jannat se

    merī qismat tujhe churā laa.ī

    kaun hai tujh mah-jamāloñ meñ

    hai mire ḳhayāloñ meñ

    tere āñkhoñ meñ merī jannat hai

    tu mera ishq hai haqiqat hai

    mujh ko tujh se baDi mohabbat hai

    zikr tera hai har fasane mein

    KHud ko khoya hai tujh ko pane mein

    husn tera shabab tera hai

    aur rakkha hai kya zamane mein

    bin tere zindagi adhuri hai

    pyar tera bahut zaruri hai

    tu meri zindagi ki chahat hai

    mujh ko tujh se baDi mohabbat hai

    meri chahat hai justuju tu hai

    meri hasrat hai aarzu tu hai

    tu meri dhaDkanon mein shamil hai

    meri nazron ke ru-ba-ru tu hai

    teri zulfon mein kho gaya hun main

    teri aankhon ka ho gaya hun main

    tu wafa ki hasin murat hai

    mujh ko tujh se baDi mohabbat hai

    main azal se tera tamannai

    tere jalwon ka main hun shaidai

    sach to ye hai KHuda ki jannat se

    meri qismat tujhe chura lai

    kaun hai tujh sa mah-jamalon mein

    tu hi tu hai mere KHayalon mein

    tere aankhon mein meri jannat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now