Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu nahin jaanti

Tahzeeb Hafi

tu nahin jaanti

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

    tere hoñToñ se bahtī huī ye hañsī

    do-jahānoñ pe nāfiz na hone baa.is

    tire haath haiñ

    jin ko ne hamesha laboñ par rakhā muskurāte hue

    nahīñ jāntī

    niiñd goliyāñ kyoñ banā.ī ga.iiñ

    log kyoñ raat ko uTh ke rote haiñ sote nahīñ

    ne ab tak koī shab agar jāgte bhī guzārī

    to vo barbie night thī

    tujh ko kaise batā.ūñ

    ki terī sadā ke ta'āqub meñ

    maiñ kaise dariyāoñ sahrāoñ aur jangaloñ se guzartā huā

    ek aisī jagah girā thā

    jahāñ peḌ sūkhnā 'aam baat thī

    jahāñ un charāġhoñ ko jalne ujrat nahīñ mil rahī thī

    jahāñ laḌkiyoñ ke badan sirf ḳhushbū banāne ke kaam aate the

    jahāñ ek mā'sūm bachcha parinde pakaḌne ke saare hunar jāntā thā

    mujh ko mā'lūm thā

    terā aise jahāñ aisī duniyā se koī ta'alluq nahīñ

    nahīñ jāntī

    kitnī āñkheñ tujhe dekhte dekhte bujh ga.iiñ

    kitne kurte tire haath se istirī ho ke jalne ḳhvāhish meñ khūñTī se laTke rahe

    kitne lab tere māthe ko tarse

    kitnī shahrāheñ is shauq meñ phaT ga.ī haiñ

    ki un ke siine pe paañv dhare

    maiñ tujhe DhūñDte DhūñDhte thak gayā huuñ

    ab mujhe terī maujūdgī chāhiye

    apne sāTan meñ sahme hue surḳh pairoñ ko ab mere hāthoñ pe rakh

    maiñ ne chakhnā hai in namak

    tere honTon se bahti hui ye hansi

    do-jahanon pe nafiz na hone ka bais

    tere hath hain

    jin ko tu ne hamesha labon par rakha muskuraate hue

    tu nahin jaanti

    nind ki goliyan kyon banai gain

    log kyon raat ko uTh ke rote hain sote nahin

    tu ne ab tak koi shab agar jagte bhi guzari

    to wo barbie night thi

    tujh ko kaise bataun

    ki teri sada ke ta'aqub mein

    main kaise dariyaon sahraon aur jangalon se guzarta hua

    ek aisi jagah ja gira tha

    jahan peD ka sukhna 'am si baat thi

    jahan un charaghon ko jalne ki ujrat nahin mil rahi thi

    jahan laDkiyon ke badan sirf KHushbu banane ke kaam aate the

    jahan ek ma'sum bachcha parinde pakaDne ke sare hunar jaanta tha

    mujh ko ma'lum tha

    tera aise jahan aisi duniya se koi ta'alluq nahin

    tu nahin jaanti

    kitni aankhen tujhe dekhte dekhte bujh gain

    kitne kurte tere hath se istiri ho ke jalne ki KHwahish mein khunTi se laTke rahe

    kitne lab tere mathe ko tarse

    kitni shahrahen is shauq mein phaT gai hain

    ki tu un ke sine pe panw dhare

    main tujhe DhunDte DhunDhte thak gaya hun

    ab mujhe teri maujudgi chahiye

    apne saTan mein sahme hue surKH pairon ko ab mere hathon pe rakh

    main ne chakhna hai in ka namak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now