uDan se pahle
maañ rasmoñ-rivājoñ ke dhāgoñ se banī
tārtār oḌhnī mujh se vāpas le le
tum hī un meñ paivand lagāte lagāte haar chukī ho
to mujh ko kyūñkar pesh karogī
maañ darvāze kī ye kunDī
andar se band karne kā
tumheñ hukm diyā gayā hai khol de
varna merā qad itnā ūñchā ho gayā hai
maiñ ab us tak ḳhud pahuñch saktī huuñ
maañ mujhe muaaf kar denā
maiñ tujhe chhoḌ jā rahī huuñ
kyūñki maiñ apnī beTī ko tārīkī meñ
Thokareñ khāte nahīñ dekh sakūñgī
maañ maiñ kutiyā to nahīñ jo ek nivāle kī ḳhātir
baap bhaa.ī sasur shauhar aur beTe kā muñh taktī rahūñ
loTtī rahūñ un ke qadmoñ meñ
maañ ye nivāla mujhe pesh na kar
jo tujh ko bhī ḳhairāt meñ milā hai
abbā kī virāsat kī chauthā.ī
aur shauhar ke haqq-e-mahr ke ehsān kā
man rasmon-riwajon ke dhagon se bani
tartar oDhni mujh se wapas le le
tum hi un mein paiwand lagate lagate haar chuki ho
to mujh ko kyunkar pesh karogi
man darwaze ki ye kunDi
andar se band karne ka
tumhein hukm diya gaya hai khol de
warna mera qad itna uncha ho gaya hai
main ab us tak KHud pahunch sakti hun
man mujhe muaf kar dena
main tujhe chhoD ja rahi hun
kyunki main apni beTi ko tariki mein
Thokaren khate nahin dekh sakungi
man main kutiya to nahin jo ek niwale ki KHatir
bap bhai sasur shauhar aur beTe ka munh takti rahun
loTti rahun un ke qadmon mein
man ye niwala mujhe pesh na kar
jo tujh ko bhi KHairaat mein mila hai
abba ki wirasat ki chauthai
aur shauhar ke haqq-e-mahr ke ehsan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.