aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ujale ki lakir

Noor -e-Shama Noor

ujale ki lakir

Noor -e-Shama Noor

MORE BYNoor -e-Shama Noor

    ik na.ī sub.h-e-daraḳhshāñ rūpahlā āñchal

    apne hamrāh liye azm-e-javāñ tanvīr

    sāqī-e-vaqt ke ruḳhsār pe lahrāyā hai

    ye hai tārīk fazāoñ meñ ujāle lakīr

    rāste par ka.ī ḳhurshīd na.e jal uTThe

    raushnī dekhiye tā-hadd-e-nazar phail ga.ī

    āsmānoñ ko zamīnoñ ko na.e rang mile

    aur fazā nik.hat-o-ra.anā.ī se ma.amūr huī

    har nafas apnā umangoñ hai tafsīr na.ī

    aaj har saañs se be-bāk irāde haiñ ayaañ

    ab ke taz.īn-e-chaman hogī lahū surḳhī

    fasl-e-gul ab ke na.e jalve bikheregī yahāñ

    dosto ham-nafaso jidd-o-jahd tez karo

    be-navāoñ ke liye tarz-e-fuġhāñ ban jaao

    phir se qindīl vafāoñ jalāo hamdam

    aaj ehsās ke ā.īnoñ ko phir chamkāo

    vaqt gard chhaTegī to ba-unvān-e-sahar

    manzil-e-shauq rāhoñ ta.ayyun hogā

    ik na.e daur ta.amīr kareñge ham sab

    chāñd tāroñ se sajā apnā nasheman hogā

    ek nai subh-e-daraKHshan ka rupahla aanchal

    apne hamrah liye azm-e-jawan ki tanwir

    saqi-e-waqt ke ruKHsar pe lahraya hai

    ye hai tarik fazaon mein ujale ki lakir

    raste par kai KHurshid nae jal uTThe

    raushni dekhiye ta-hadd-e-nazar phail gai

    aasmanon ko zaminon ko nae rang mile

    aur faza nikhat-o-ranai se mamur hui

    har nafas apna umangon ki hai tafsir nai

    aaj har sans se be-bak irade hain ayan

    ab ke tazin-e-chaman hogi lahu ki surKHi

    fasl-e-gul ab ke nae jalwe bikheregi yahan

    dosto ham-nafaso jidd-o-jahd tez karo

    be-nawaon ke liye tarz-e-fughan ban jao

    phir se qindil wafaon ki jalao hamdam

    aaj ehsas ke aainon ko phir chamkao

    waqt ki gard chhaTegi to ba-unwan-e-sahar

    manzil-e-shauq ki rahon ka tayyun hoga

    ek nae daur ki tamir karenge hum sab

    chand taron se saja apna nasheman hoga

    Source:

    Vusat-e-Imkan (Pg. 116)

    • Author: Noor -e-Shama Noor
      • Publisher: City Book Point, Karachi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now