ujale ki zanjir
ajab shor hai
shor hī shor hai
bas musalsal vahī shor hai
jaane kyā ho gayā
shahr-bhar ko
añdhere kī taqdīr achchhī nahīñ thī
to kis ne kahā thā ki
mashriq se ubhre
vo
jis ke ubharne se
bijlī sī ik
dauḌtī hai ragoñ meñ
mashīnoñ ke purzoñ meñ
aatī hai harakat
galī
kūche
bāzār meñ phir achānak
nikal dauḌte haiñ
mashīnoñ ke paikar
mashīnoñ se paikar
kahīñ koī tasvīr achchhī nahīñ hai
ujāle kī zanjīr achchhī nahīñ hai
ajab shor hai
shor hī shor hai
bas musalsal vahī shor hai
jaane kyā ho gayā
shahr-bhar ko
ajab shor hai
shor hi shor hai
bas musalsal wahi shor hai
jaane kya ho gaya
shahr-bhar ko
andhere ki taqdir achchhi nahin thi
to kis ne kaha tha ki
mashriq se ubhre
wo
jis ke ubharne se
bijli si ek
dauDti hai ragon mein
mashinon ke purzon mein
aati hai harakat
gali
kuche
bazar mein phir achanak
nikal dauDte hain
mashinon ke paikar
mashinon se paikar
kahin koi taswir achchhi nahin hai
ujale ki zanjir achchhi nahin hai
ajab shor hai
shor hi shor hai
bas musalsal wahi shor hai
jaane kya ho gaya
shahr-bhar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.