uljhan
suljhāte suljhāte āḳhir-kār
itne ulajh ga.e haiñ saare samīkaran
ki zindagī goyā mauj kī rassī ho ga.ī hai
us ke jīvan meñ na koī prem bachā hai na pratikshā
vo ḳhud hī mahsūs karne lagā hai ḳhud kī vyarthatā
jab bhī sunānā shurūa kartā hai koī qissa
kendr se paridhi tak ḳhud ko kahīñ bhī nahīñ paatā
in dinoñ udāsī koī hiir hai
jo gaatī rahtī hai bhītar
āThoñ-pahar
suljhate suljhate aaKHir-kar
itne ulajh gae hain sare samikaran
ki zindagi goya mauj ki rassi ho gai hai
us ke jiwan mein na koi prem bacha hai na pratiksha
wo KHud hi mahsus karne laga hai KHud ki wyarthata
jab bhi sunana shurua karta hai koi qissa
kendr se paridhi tak KHud ko kahin bhi nahin pata
in dinon udasi koi hir hai
jo gati rahti hai bhitar
aaThon-pahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.