Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulma-e-zindani

Shibli Nomani

ulma-e-zindani

Shibli Nomani

MORE BYShibli Nomani

    Interesting Fact

    Shibli was in Bombay at the time when a mosque was demolished in Kanpur during the British rule in India. The moment he got this news he penned this Nazm.

    masājid hifāzat ke liye police hājat hai

    ḳhudā ko aap ne mashkūr farmāyā ināyat hai

    ajab kyā hai ki ab har shāh-rāh se ye sadā aa.e

    mujhe bhī kam se kam ik ġhusl-ḳhāne zarūrat hai

    pinhā.ī rahī haiñ ālimān-e-dīñ ko zanjīreñ

    ye zevar sayyad-e-sajjād-ālī virāsat hai

    yahī das biis agar haiñ kushtagān-e-ḳhanjar-andāzī

    to mujh ko susti-e-bāzu-e-qātil shikāyat hai

    shahīdān-e-vafā ke qatra-e-ḳhūñ kaam ā.eñge

    urūs-e-masjid-e-zebā ko afshāñ zarūrat hai

    ajab kyā hai jo nau-ḳhezoñ ne sab se pahle jāneñ diiñ

    ki ye bachche haiñ in ko jald so jaane aadat hai

    shahīdān-e-vafā ḳhaak se aa.ī haiñ āvāzeñ

    ki shiblī bamba.ī meñ rah ke mahrūm-e-sa.ādat hai

    masajid ki hifazat ke liye police ki hajat hai

    KHuda ko aap ne mashkur farmaya inayat hai

    ajab kya hai ki ab har shah-rah se ye sada aae

    mujhe bhi kam se kam ek ghusl-KHane ki zarurat hai

    pinhai ja rahi hain aaliman-e-din ko zanjiren

    ye zewar sayyad-e-sajjad-ali ki wirasat hai

    yahi das bis agar hain kushtagan-e-KHanjar-andazi

    to mujh ko susti-e-bazu-e-qatil ki shikayat hai

    shahidan-e-wafa ke qatra-e-KHun kaam aaenge

    urus-e-masjid-e-zeba ko afshan ki zarurat hai

    ajab kya hai jo nau-KHezon ne sab se pahle jaanen din

    ki ye bachche hain in ko jald so jaane ki aadat hai

    shahidan-e-wafa ki KHak se aai hain aawazen

    ki shibli bambai mein rah ke mahrum-e-saadat hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ulma-e-zindani Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now