Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un logon ke andar

Majeed Amjad

un logon ke andar

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    un logoñ ke andar jin ke andar meñ bhī huuñ

    mere bar-aks aise bhī

    haiñ kuchh log

    jin bātoñ ke kuchh sachche ruup

    un ke harbe haiñ

    lekin ye sach un nahīñ hotā

    ye sach auroñ se chhīnā huā hotā hai

    apne jhuuT aur apnī badī ko chhapāne ḳhātir

    vo auroñ ik ik achchhā.ī ko hathyā lete haiñ

    aur phir us hathiyār ko le kar jab vo chalte haiñ

    saarī duniyā un se Dartī hai

    ye bhī kaisā zamāna hai

    jab achchhoñ sab achhā.iyāñ buroñ ke hāthoñ meñ

    harbe haiñ sachche log agar jīvaT huuñ

    kaun un ke muñh aa.egā

    jhuuT ke us tālāb ke sab kachhve

    apne apne ḳhol meñ apne apne kaale zamīroñ meñ

    chhup jā.eñge

    un logon ke andar jin ke andar mein bhi hun

    mere bar-aks aise bhi

    hain kuchh log

    jin ki baaton ke kuchh sachche rup

    un ke harbe hain

    lekin ye sach un ka nahin hota

    ye sach auron se chhina hua hota hai

    apne jhuT aur apni badi ko chhapane ki KHatir

    wo auron ki ek ek achchhai ko hathya lete hain

    aur phir us hathiyar ko le kar jab wo chalte hain

    sari duniya un se Darti hai

    ye bhi kaisa zamana hai

    jab achchhon ki sab achhaiyan buron ke hathon mein

    harbe hain sachche log agar jiwaT hun

    kaun un ke munh aaega

    jhuT ke us talab ke sab kachhwe

    apne apne KHol mein apne apne kale zamiron mein

    chhup jaenge

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 97)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now