Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unhen sab se mohabbat hai

Aziz Ansari

unhen sab se mohabbat hai

Aziz Ansari

MORE BYAziz Ansari

    vatan se pyaar hai jin ko unheñ sab se mohabbat hai

    vo karte haiñ mohabbat apne ghar ke rahne vāloñ se

    unheñ ārām de kar ḳhud musībat sahne vāloñ se

    buzurgoñ se aqīdat hai unheñ bachchoñ se ulfat hai

    ġharīboñ se amīroñ se unheñ sab se mohabbat hai

    vatan se pyaar hai jin ko unheñ sab se mohabbat hai

    mohabbat hai parindoñ se unheñ peḌoñ se hai raġhbat

    unheñ hariyālī bhātī hai unheñ khetoñ se hai raġhbat

    unheñ gujrāt se madras se bañgāl se raġhbat

    unheñ kashmīr ke shimla ke snowfall se raġhbat

    vatan se pyaar hai jin ko unheñ sab se mohabbat hai

    unheñ ye dhuup ye bādal ye varshā achchhī lagtī hai

    unheñ shāḳhoñ pe koyal ghar meñ chiḌiyā achchhī lagtī hai

    unheñ dariyāoñ meñ kashtī chalānā achchhā lagtā hai

    unheñ jharnoñ ke paanī meñ nahānā achchhā lagtā hai

    vatan se pyaar hai jin ko unheñ sab se mohabbat hai

    watan se pyar hai jin ko unhen sab se mohabbat hai

    wo karte hain mohabbat apne ghar ke rahne walon se

    unhen aaram de kar KHud musibat sahne walon se

    buzurgon se aqidat hai unhen bachchon se ulfat hai

    gharibon se amiron se unhen sab se mohabbat hai

    watan se pyar hai jin ko unhen sab se mohabbat hai

    mohabbat hai parindon se unhen peDon se hai raghbat

    unhen hariyali bhati hai unhen kheton se hai raghbat

    unhen gujraat se madras se bangal se raghbat

    unhen kashmir ke shimla ke snowfall se raghbat

    watan se pyar hai jin ko unhen sab se mohabbat hai

    unhen ye dhup ye baadal ye warsha achchhi lagti hai

    unhen shaKHon pe koyal ghar mein chiDiya achchhi lagti hai

    unhen dariyaon mein kashti chalana achchha lagta hai

    unhen jharnon ke pani mein nahana achchha lagta hai

    watan se pyar hai jin ko unhen sab se mohabbat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now