Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unwan muhajir

Mahwar Sirsivi

unwan muhajir

Mahwar Sirsivi

MORE BYMahwar Sirsivi

    yahāñ par sab muhājir haiñ

    ye denā ik sarā.e hai

    sarā.e agar matlab tumheñ ma.alūm ho jaa.e

    tum apnī ḳhvāhishāt-e-qalb ko dafnā ke rakkhoge

    ibādat ke kafan se ruuh ko kafnā ke rakkhoge

    sarā.e lafz matlab luġhat meñ mil jā.egā

    agar tum paḌh nahīñ sakte suno phir maiñ batātā huuñ

    sarā.e us ko kahte haiñ

    jahāñ manzil ko paane tamanna meñ muhājir Thahar jaate haiñ

    karoḌoñ roz aate haiñ karoḌoñ roz jaate haiñ

    jahāñ par mustaqil rahne hasrat sab ko hotī hai

    magar koī jahāñ par mustaqil rah nahīñ saktā

    kise kis vaqt aanā hai kise kis vaqt jaanā hai

    jahāñ par sab muqarrar ho

    kyā tum ab bhī nahīñ samjhe

    ye duniyā ik sarā.e hai jo faanī hai

    ye sab miT jaane vaalā hai

    hamesha baaqī rahne tasavvur kar nahīñ sakte

    hamesha baaqī rahne jo bāteñ karte rahte the

    jo apne aap ko mālik batāte the sarā.e

    na jaane aise kitne nāmvar hijrat yahāñ se kar chuke pyāre

    yahāñ se ik na ik din sab ko hijrat kar ke jaanā hai

    koī pahle to koī baa'd meñ lekin yahī sach hai

    koī samjhe na samjhe

    magar merī samajh meñ aa gayā 'mahvar'

    yahāñ par sab muhājir haiñ

    ye duniyā ik sarā.e hai

    yahan par sab muhajir hain

    ye dena ek sarae hai

    sarae ka agar matlab tumhein malum ho jae

    tum apni KHwahishat-e-qalb ko dafna ke rakkhoge

    ibaadat ke kafan se ruh ko kafna ke rakkhoge

    sarae lafz ka matlab lughat mein mil hi jaega

    agar tum paDh nahin sakte suno phir main batata hun

    sarae us ko kahte hain

    jahan manzil ko pane ki tamanna mein muhajir Thahar jate hain

    karoDon roz aate hain karoDon roz jate hain

    jahan par mustaqil rahne ki hasrat sab ko hoti hai

    magar koi jahan par mustaqil rah hi nahin sakta

    kise kis waqt aana hai kise kis waqt jaana hai

    jahan par sab muqarrar ho

    kya tum ab bhi nahin samjhe

    ye duniya ek sarae hai jo fani hai

    ye sab miT jaane wala hai

    hamesha baqi rahne ka tasawwur kar nahin sakte

    hamesha baqi rahne ki jo baaten karte rahte the

    jo apne aap ko malik batate the sarae ka

    na jaane aise kitne namwar hijrat yahan se kar chuke pyare

    yahan se ek na ek din sab ko hijrat kar ke jaana hai

    koi pahle to koi ba'd mein lekin yahi sach hai

    koi samjhe ya na samjhe

    magar meri samajh mein aa gaya 'mahwar'

    yahan par sab muhajir hain

    ye duniya ek sarae hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now