Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uphaar-e-raksha-bandhan

Mohammad Hazim Hassan

uphaar-e-raksha-bandhan

Mohammad Hazim Hassan

MORE BYMohammad Hazim Hassan

    prem jagat ke rahne vaalo prem se rishta joḌo

    hirdai hai parbhū Derā use kabhī na toḌo

    ulTī gangā bahtī hai bahne do us ko chhoḌo

    apne jīvan dhārā ko tum sīdhe ruḳh par moḌo

    karam karegā jo achchhā achchhā.ī pe vo maregā

    aur burā koī jo karegā vaisā vo bharegā

    pun kyā hai jo bhī kisī ne us ko to vo milegā

    baaġh meñ us ke jīvan ke vo ban kar phuul khulegā

    hindū muslim sikh īsā.ī sab haiñ bhaa.ī bhaa.ī

    bhā nahīñ saktī kabhī kisī ko ik-dūje judā.ī

    aaj hai rakshā-bandhan din hai ye kitnā suhānā

    bhā.ī-bahan ke prem ye din sab ko sunā.e fasāna

    shīlā ne arshad le ke haath meñ kalā.ī

    phir ye bolī rakshā-bandhan aaj hai mire bhaa.ī

    pyaar bharā ye haath jo rakh do sar par aaj hamāre

    har dukh har ġham duur ho jaa.e ḳhushiyāñ aa.e dvāre

    pyaar puujā pyaar ibādat pyaar se rishta joḌo

    har dukh har ġham duur ho jaa.e ḳhushiyāñ aa.e dvāre

    zainab bhī rāhul ke haath meñ bāñdh ke bolī rākhī

    dukh-sañkaT ke sāgar nayyā hai mājhī

    pavitra prem jag meñ dekho kaisā ye uphār hai

    isī pyaar aur prem se bhayyā sukh-may ye sansār hai

    kabhī kisī bhī bahan pe bhayyā sankaT aa nahīñ paa.e

    phuul na hargiz kabhī kisī ḳhushiyoñ ke murjhā.e

    siitā giitā shabnam shāhīñ meñ hai bhed na bhaav

    chāroñ hai ek charitra aur sab ek subhāv

    buuñd lahū ek ragoñ meñ tan bhī ek samān

    prem paaTh paḌhāyā sab ne giitā ho purān

    ho har din rakshā-bandhan sab prem jot jalā.eñ

    prem ḳhushbū se mahke ghar āñgan chāroñ dishā.eñ

    prem jagat ke rahne walo prem se rishta joDo

    hirdai hai parbhu ka Dera use kabhi na toDo

    ulTi ganga bahti hai bahne do us ko chhoDo

    apne jiwan dhaara ko tum sidhe ruKH par moDo

    karam karega jo achchha achchhai pe wo marega

    aur bura koi jo karega waisa hi wo bharega

    pun kya hai jo bhi kisi ne us ko to wo milega

    bagh mein us ke jiwan ke wo ban kar phul khulega

    hindu muslim sikh isai sab hain bhai bhai

    bha nahin sakti kabhi kisi ko ik-duje ki judai

    aaj hai raksha-bandhan ka din hai ye kitna suhana

    bhai-bahan ke prem ka ye din sab ko sunae fasana

    shila ne arshad ki le li ja ke hath mein kalai

    phir ye boli raksha-bandhan aaj hi hai mere bhai

    pyar bhara ye hath jo rakh do sar par aaj hamare

    har dukh har gham dur ho jae KHushiyan aae dware

    pyar hi puja pyar ibaadat pyar se rishta joDo

    har dukh har gham dur ho jae KHushiyan aae dware

    zainab bhi rahul ke hath mein bandh ke boli rakhi

    dukh-sankaT ke sagar ki nayya ka tu hai majhi

    pawitra prem ka jag mein dekho kaisa ye uphaar hai

    isi pyar aur prem se bhayya sukh-may ye sansar hai

    kabhi kisi bhi bahan pe bhayya sankaT aa nahin pae

    phul na hargiz kabhi kisi ki KHushiyon ke murjhae

    sita gita shabnam shahin mein hai bhed na bhaw

    chaaron ka hai ek charitra aur sab ka ek subhaw

    bund lahu ki ek ragon mein tan bhi ek saman

    prem paTh paDhaya sab ne gita ho ya puran

    ho har din raksha-bandhan ka sab prem ki jot jalaen

    prem ki KHushbu se mahke ghar aangan chaaron dishaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now