Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu zaban

Bano Tahira Sayeed

urdu zaban

Bano Tahira Sayeed

MORE BYBano Tahira Sayeed

    kitnī mīThī zabāñ kaisī pyārī zabāñ

    merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ

    is meñ rādhā ke paa.el jhankār hai

    zulf-e-zeb-un-nisā bhī mahkār hai

    is meñ jhāñsī raanī lalkār hai

    sāz-o-naġhma ke ham-rāh talvār hai

    us ke dāman meñ haiñ kitnī rangīniyāñ

    merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ

    hind maatā beTī hai urdu zabāñ

    sāñvlī chulbulī naujavāñ gul-fishāñ

    hindū muslim ke iḳhlās dāstāñ

    ittihād-o-mohabbat qaumī nishāñ

    kyoñ ise ġhair kahtā hai nā-qadr-dāñ

    merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ

    is meñ sarmastī-e-jām-e-shīrāz hai

    najd soz hai hind saaz hai

    apnī har-dil-azīzī meñ mumtāz hai

    ahl-e-hindostāñ ye āvāz hai

    is ko kahte haiñ sab dil-kash-o-ḳhush-bayāñ

    merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ

    bolī jaatī hai kashmīr se raas tak

    samjhī jaatī hai gujrāt madras tak

    ġhairiyat nahīñ is meñ bū-bās tak

    nafratoñ nahīñ is ko ehsās tak

    ḳhaas hindostānī hai urdu zabāñ

    merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ

    kah rahī hai ye bhārat se urdu zabāñ

    mujh se nārāz kyoñ mādar-e-mehrbāñ

    mirī maiñ tirī hamdam-o-rāz-dāñ

    phir lagā le gale se mujhe merī maañ

    'tāhira' kuchh pareshāñ hai urdu zabāñ

    merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ

    kitni miThi zaban kaisi pyari zaban

    meri urdu zaban faKHr-e-hindostan

    is mein radha ke pael ki jhankar hai

    zulf-e-zeb-un-nisa ki bhi mahkar hai

    is mein jhansi ki rani ki lalkar hai

    saz-o-naghma ke ham-rah talwar hai

    us ke daman mein hain kitni ranginiyan

    meri urdu zaban faKHr-e-hindostan

    hind mata ki beTi hai urdu zaban

    sanwli chulbuli naujawan gul-fishan

    hindu muslim ke iKHlas ki dastan

    ittihad-o-mohabbat ka qaumi nishan

    kyon ise ghair kahta hai na-qadr-dan

    meri urdu zaban faKHr-e-hindostan

    is mein sarmasti-e-jam-e-shiraaz hai

    najd ka soz hai hind ka saz hai

    apni har-dil-azizi mein mumtaz hai

    ahl-e-hindostan ki ye aawaz hai

    is ko kahte hain sab dil-kash-o-KHush-bayan

    meri urdu zaban faKHr-e-hindostan

    boli jati hai kashmir se ras tak

    samjhi jati hai gujraat madras tak

    ghairiyat ki nahin is mein bu-bas tak

    nafraton ka nahin is ko ehsas tak

    KHas hindostani hai urdu zaban

    meri urdu zaban faKHr-e-hindostan

    kah rahi hai ye bhaarat se urdu zaban

    mujh se naraaz kyon madar-e-mehrban

    tu meri main teri hamdam-o-raaz-dan

    phir laga le gale se mujhe meri man

    'tahira' kuchh pareshan hai urdu zaban

    meri urdu zaban faKHr-e-hindostan

    Source:

    Barg-e-Sabz (Pg. 70)

    • Author: Bano Tahira Sayeed
      • Publisher: Maktaba-e-Sadi, Hyderabad
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now