Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski yaad mein

Syed Javed Akhtar

uski yaad mein

Syed Javed Akhtar

MORE BYSyed Javed Akhtar

    Interesting Fact

    (Monthly: Kitab, Islamabad, January 4, 2014)

    mujhe jis ko dekhe hue

    aaj hai solahvāñ din

    ghaḌī-dar-ghaḌī yaad us

    mire zehn meñ dā.ere bun rahī hai

    ki jaise kisī sabz-o-shādāb vaadī pahnā.iyoñ meñ

    ho ik chashma-e-āb-e-haivāñ

    musalsal gireñ jis meñ kankar

    baneñ naġhma-e-mauj taal par nanhe munne hayūle

    baneñ ban ke bikhreñ bikhar ke baneñ

    faqat solahvāñ roz hai aur maiñ

    us yādoñ ke qile meñ mahsūr huuñ is tarah

    jis tarah chashm-e-yāqūb meñ

    us ke beTe sūrat munaqqash huī thī

    mujhe jis ko dekhe hue

    aaj hai solahwan din

    ghaDi-dar-ghaDi yaad us ki

    mere zehn mein daere bun rahi hai

    ki jaise kisi sabz-o-shadab wadi ki pahnaiyon mein

    ho ek chashma-e-ab-e-haiwan

    musalsal giren jis mein kankar

    banen naghma-e-mauj ki tal par nanhe munne hayule

    banen ban ke bikhren bikhar ke banen

    faqat solahwan roz hai aur main

    us ki yaadon ke qile mein mahsur hun is tarah

    jis tarah chashm-e-yaqub mein

    us ke beTe ki surat munaqqash hui thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now