Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use sab ne dekha

Saadat Saeed

use sab ne dekha

Saadat Saeed

MORE BYSaadat Saeed

    dhuul āvāz meñ jal-thal samundar gum hue

    dar-band chehre masḳh

    bīnā.ī pareshāñ ḳhvāb

    poroñ lahū bādal

    saroñ ke baal ḳhākistar hue

    aane vāloñ ne sabā ujḌī ḳhushbū

    phīke hoñToñ zard kānoñ pe sajā.ī

    us ke ghar dar khulā

    vahshat-zada chehroñ ne dekhā rang bādāmī badan nangā

    ḳharāsheñ apne nāḳhun amiiñ gum-sum shikasta

    rū-e-ā.īna meñ sargoshī huī

    reza-reza zarra-zarra pyaas meñ aTtī havā ke silsile

    nesh-zan lamhoñ meñ maḳhfī dhaḌkanoñ raqs

    maddham be-karāñ miTTī se pur

    us ne sahrā meñ bikharte bol gosh-e-kārvāñ ban ke sune

    din kisī shīshe ke naḳhl-e-sard mānind

    us ke sūkhte gāloñ tarah ḳhushk shaam

    sīna-e-ālam khulā us ne apnī zard āñkheñ khol diiñ

    raat manzar khulā

    us ke siine siyāhī pairahan bunñe lage

    dhul ki aawaz mein jal-thal samundar gum hue

    dar-band chehre masKH

    binai pareshan KHwab

    poron ka lahu baadal

    saron ke baal KHakistar hue

    aane walon ne saba ki ujDi KHushbu

    phike honTon zard kanon pe sajai

    us ke ghar ka dar khula

    wahshat-zada chehron ne dekha rang baadami badan nanga

    KHarashen apne naKHun ki amin gum-sum shikasta

    ru-e-aina mein sargoshi hui

    reza-reza zarra-zarra pyas mein aTti hawa ke silsile

    nesh-zan lamhon mein maKHfi dhaDkanon ka raqs

    maddham be-karan miTTi se pur

    us ne sahra mein bikharte bol gosh-e-karwan ban ke sune

    din kisi shishe ke naKHl-e-sard ki manind

    us ke sukhte galon ki tarah KHushk sham

    sina-e-alam khula us ne apni zard aankhen khol din

    raat ka manzar khula

    us ke sine ki siyahi pairahan bunne lage

    Source:

    Kajli Ban (Pg. 35)

    • Author: Saadat Saeed
      • Publisher: Sang-e-Meel Publications, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now