Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahima

MORE BYSohaib Mugheera Siddiqi

    raat jaagī to kahīñ sahn meñ sūkhe patte

    charmurā.e ki koī aayā koī aayā hai

    aur ham shauq ke maare hue dauḌe aa.e

    go ki mālūm hai hai na tirā saaya hai

    ham ki dekheñ kabhī dālān kabhī sūkhā chaman

    us pe dhīmī tamanna ki pukāre jaa.eñ

    phir se ik baar tirī ḳhvāb āñkheñ dekheñ

    phir tire hijr ke hāthoñ bhale maare jaa.eñ

    ham tujhe apnī sadāoñ meñ basāne vaale

    itnā chīḳheñ ki tire vahm lipaT kar ro.eñ

    par tire vahm bhī terī tarah qātil haiñ

    so vahī dard hai jānāñ kaho kaise so.eñ

    bas isī karb ke pahlū meñ guzāre haiñ pahar

    bas yūñhī ġham kabhī kaafī kabhī thoḌe aa.e

    phir achānak kisī lamhe meñ jo chaTḳhe patte

    ham vahī shauq ke maare hue dauḌe aa.e

    raat jagi to kahin sahn mein sukhe patte

    charmurae ki koi aaya koi aaya hai

    aur hum shauq ke mare hue dauDe aae

    go ki malum hai tu hai na tera saya hai

    hum ki dekhen kabhi dalan kabhi sukha chaman

    us pe dhimi si tamanna ki pukare jaen

    phir se ek bar teri KHwab si aankhen dekhen

    phir tere hijr ke hathon hi bhale mare jaen

    hum tujhe apni sadaon mein basane wale

    itna chiKHen ki tere wahm lipaT kar roen

    par tere wahm bhi teri hi tarah qatil hain

    so wahi dard hai jaanan kaho kaise soen

    bas isi karb ke pahlu mein guzare hain pahar

    bas yunhi gham kabhi kafi kabhi thoDe aae

    phir achanak kisi lamhe mein jo chaTKHe patte

    hum wahi shauq ke mare hue dauDe aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now