Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi bu-e-gul hai

Khursheed Akbar

wahi bu-e-gul hai

Khursheed Akbar

MORE BYKhursheed Akbar

    koī jazba hai na koī ehsās

    ab to vo hai bhī nahīñ mere paas

    jaise vo thā nahīñ mere paas

    jaise vo thā nahīñ koī savāl

    jaise vo thā nahīñ merā ḳhayāl

    jaise vo thā nahīñ raat niiñd

    jaise vo thā nahīñ merā ḳhvāb

    jaise vo thā nahīñ merā nasha

    jaise vo thā nahīñ merī sharāb

    jaise vo thā nahīñ merā ḳhumār

    jaise vo thā nahīñ sub.h nuur

    jaise vo thā nahīñ din ġhubār

    jaise vo thā nahīñ shām-e-surūr

    jaise vo thā nahīñ merī murād

    jaise vo thā nahīñ lams-e-hayāt

    jaise vo thā nahīñ ishq mirā

    jaise vo thā nahīñ shahr-e-najāt

    jaise vo thā nahīñ phir bhī use

    vaqt kyuuñ yaad kiyā kartā hai

    shaġhl ījād kiyā kartā hai

    dard ko shaad kiyā kartā hai

    ḳhud ko ābād kiyā kartā hai

    jism ke phuul meñ ehsās ḳhushbū hai yaad

    hijr raat meñ ummīd jugnū hai yaad

    madh bhare nain vo āḳhirī jaadū hai yaad

    ḳhud ko maiñ bhuul gayā sirf mujhe hai yaad

    jaise maiñ thā nahīñ jaise maiñ huuñ bhī nahīñ

    ishq ābād fanā-e-kul hai

    gul hāsil vahī bū-e-gul hai

    koi jazba hai na koi ehsas

    ab to wo hai bhi nahin mere pas

    jaise wo tha hi nahin mere pas

    jaise wo tha hi nahin koi sawal

    jaise wo tha hi nahin mera KHayal

    jaise wo tha hi nahin raat ki nind

    jaise wo tha hi nahin mera KHwab

    jaise wo tha hi nahin mera nasha

    jaise wo tha hi nahin meri sharab

    jaise wo tha hi nahin mera KHumar

    jaise wo tha hi nahin subh ka nur

    jaise wo tha hi nahin din ka ghubar

    jaise wo tha hi nahin sham-e-surur

    jaise wo tha hi nahin meri murad

    jaise wo tha hi nahin lams-e-hayat

    jaise wo tha hi nahin ishq mera

    jaise wo tha hi nahin shahr-e-najat

    jaise wo tha hi nahin phir bhi use

    waqt kyun yaad kiya karta hai

    shaghl ijad kiya karta hai

    dard ko shad kiya karta hai

    KHud ko aabaad kiya karta hai

    jism ke phul mein ehsas ki KHushbu hai yaad

    hijr ki raat mein ummid ka jugnu hai yaad

    madh bhare nain ka wo aaKHiri jadu hai yaad

    KHud ko main bhul gaya sirf mujhe tu hai yaad

    jaise main tha hi nahin jaise main hun bhi nahin

    ishq aabaad fana-e-kul hai

    gul ka hasil wahi bu-e-gul hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now