Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wal-asr

MORE BYOmainuz Zahra Sayyad

    ujālā tārīkī meñ muntaqil hotā dekh kar

    banjar zehn par

    ḳhud-sāḳhta uge

    sumūdī daraḳht ujḌī Tahniyoñ par jumbish

    naqqāra-e-zāt hai

    zarḳhez savāl paanī choñch meñ bhare

    rangīn parinda pyaas vaadī meñ numūdār huā

    visāl kyoñ hijr jānib gāmzan hai

    shabāb par zardī kaisī

    nāchtī ḳhushiyāñ

    ġham ḳhushbū se lipTī

    ehtimāl-āmez haiñ

    zindagī diyā

    siyāh saa.e tale TimTimā rahā hai

    din-bhar reñgte hue sūraj ne

    āvāza lagāyā

    val-asr

    aur mujh se

    innal-insāna lafī ḳhusr

    tafsīr kalām karne lagī

    ujala tariki mein muntaqil hota dekh kar

    banjar zehn par

    KHud-saKHta uge

    sumudi daraKHt ki ujDi Tahniyon par jumbish

    naqqara-e-zat hai

    zarKHez sawal ka pani chonch mein bhare

    rangin parinda pyas ki wadi mein numudar hua

    visal kyon hijr ki jaanib gamzan hai

    shabab par zardi kaisi

    nachti KHushiyan

    gham KHushbu se lipTi

    ehtimal-amez hain

    zindagi ka diya

    siyah sae tale TimTima raha hai

    din-bhar rengte hue suraj ne

    aawaza lagaya

    wal-asr

    aur mujh se

    innal-insana lafi KHusr

    ki tafsir kalam karne lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now