Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ka chiDiya-ghar

Sarwat Zehra

waqt ka chiDiya-ghar

Sarwat Zehra

MORE BYSarwat Zehra

    maiñ vaqt ke chiḌiyā-ghar

    jānvaroñ ke jangaloñ meñ un

    tamām-tar zarūratoñ ke saath ga.ī āzādī

    aur tumhāre dil ke kone-khudroñ meñ

    mere junūn ko ga.ī āzārī meñ

    kuchh ziyāda farq nahīñ dekhtī

    sadhāne ke liye intizāmiya yaumiya aur

    hafta-vār mēting ke zarīye be-muhāba jānvaroñ ko

    usūloñ ke mutābiq sadhāne bharpūr amal

    natīja-ḳhez sābit ho rahā hai

    magar mujhe e'tirāf hai ki jañgle ke andar merī

    zarūratoñ puurā puurā ḳhayāl rakkhā rahā hai

    merī ḳhūrāk aur paanī pābandī se muqarrara vaqt par

    pahuñchā.ī rahī hai

    salāḳhoñ ke andar puurā ilāqa merī dastaras meñ

    de diyā gayā hai

    magar tamāsh-bīnoñ ke rivāyatī shauq se pahuñchne vaalī

    aziyyat se tahaffuz bhī diyā rahā hai

    kholiyoñ meñ baqā-e-bāhamī ke zarrīñ usuul ke tahat

    dūsre jangaloñ tak pahuñchne ke rāste bhī masdūd

    kar diye ga.e haiñ

    sabze kaa.ī pattharoñ aur tālāb ke zariye masnūī duniyā

    bunat aisī zarūr hai

    ki koī bhī us pe asl hone dhokā

    khā saktā hai

    so maiñ bhī apne aap ko is ḳhūbsūrat māhaul

    aadī banāne mukammal koshish kar rahī huuñ

    main waqt ke chiDiya-ghar

    jaanwaron ke jangalon mein un ki

    tamam-tar zaruraton ke sath di gai aazadi

    aur tumhaare dil ke kone-khudron mein

    mere junun ko di gai aazari mein

    kuchh ziyaada farq nahin dekhti

    sadhane ke liye intizamiya ki yaumiya aur

    hafta-war meeting ke zariye be-muhaba jaanwaron ko

    usulon ke mutabiq sadhane ka bharpur amal

    natija-KHez sabit ho raha hai

    magar mujhe e'tiraf hai ki jangle ke andar meri

    zaruraton ka pura pura KHayal rakkha ja raha hai

    meri KHurak aur pani pabandi se muqarrara waqt par

    pahunchai ja rahi hai

    salaKHon ke andar ka pura ilaqa meri dastaras mein

    de diya gaya hai

    magar tamash-binon ke riwayati shauq se pahunchne wali

    aziyyat se tahaffuz bhi diya ja raha hai

    kholiyon mein baqa-e-bahami ke zarrin usul ke tahat

    dusre jangalon tak pahunchne ke raste bhi masdud

    kar diye gae hain

    sabze kai pattharon aur talab ke zariye masnui duniya ki

    bunat aisi zarur hai

    ki koi bhi us pe asl hone ka dhoka

    kha sakta hai

    so main bhi apne aap ko is KHubsurat mahaul

    ka aadi banane ki mukammal koshish kar rahi hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now