Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki chiz

Ali Manzoor Hyderabadi

waqt ki chiz

Ali Manzoor Hyderabadi

MORE BYAli Manzoor Hyderabadi

    sab jise intihā kaheñ use ibtidā samajh

    ho na isī samajh pe ḳhush yūñhī baḌhā.e samajh

    zauq-e-safar ghaTā na de log kaheñ jo nā-samajh

    hāsil-e-mudda.ā ko bhī partav-e-mudda.ā samajh

    aur bulandiyoñ pe raaz uruuj samajh

    dil meñ hai dard-e-qaum agar qaum jald le ḳhabar

    qaum se haiñ jo be-ḳhabar qaum un ko de ḳhabar

    soch ki apnī qaum se kaun hai aaj be-ḳhabar

    kaam aadmī mile na mile kise ḳhabar

    kyā nahīñ ḳhud aadmī ḳhud ko kaam samajh

    tere hudūd meñ kahīñ aa.iiñ nazar na pastiyāñ

    lā.eq-e-e'tinā na hoñ ġhairoñ chīra-dastiyāñ

    darḳhor-e-iltifāt hoñ kyoñ ye zalīl hastiyāñ

    jis ḳhudī pe chhīn liiñ qaum ḳhud-parastiyāñ

    aise ḳhudī-navāz ko qaum rahnumā samajh

    quvvat-e-zar se jo bashar aa.ī balā ko Taal de

    us karāmatoñ meñ jis aur bhī zul-jalāl de

    us se agar hai bad-zanī dil meñ to ab nikāl de

    qaum muflisī ko jo maʻriẓ-e-shak meñ Daal de

    aise bhī māl-dār ko makramat-āshnā samajh

    na rakh itnī hub-e-zar dil meñ magar ye rakh ḳhayāl

    vaqt chiiz ban ga.ī aaj numūd-e-jāh-o-māl

    tere numūd par kare faḳhr har ek bā-kamāl

    izzat-e-qaum hai juz izzat-e-nafs savāl

    apne bhī irtiqā ko qaum irtiqā samajh

    sab jise intiha kahen tu use ibtida samajh

    ho na isi samajh pe KHush yunhi baDhae ja samajh

    zauq-e-safar ghaTa na de log kahen jo na-samajh

    hasil-e-muddaa ko bhi partaw-e-muddaa samajh

    aur bulandiyon pe ja raaz uruj ka samajh

    dil mein hai dard-e-qaum agar qaum ki jald le KHabar

    qaum se hain jo be-KHabar qaum ki un ko de KHabar

    soch ki apni qaum se kaun hai aaj be-KHabar

    kaam ka aadmi mile ya na mile kise KHabar

    kya nahin tu KHud aadmi KHud ko hi kaam ka samajh

    tere hudud mein kahin aain nazar na pastiyan

    laeq-e-e'tina na hon ghairon ki chira-dastiyan

    darKHor-e-iltifat hon kyon ye zalil hastiyan

    jis ki KHudi pe chhin lin qaum ki KHud-parastiyan

    aise KHudi-nawaz ko qaum ka rahnuma samajh

    quwwat-e-zar se jo bashar aai bala ko Tal de

    us ki karamaton mein jis aur bhi zul-jalal de

    us se agar hai bad-zani dil mein to ab nikal de

    qaum ki muflisi ko jo maʻriẓ-e-shak mein Dal de

    aise bhi mal-dar ko makramat-ashna samajh

    tu na rakh itni hub-e-zar dil mein magar ye rakh KHayal

    waqt ki chiz ban gai aaj numud-e-jah-o-mal

    tere numud par kare faKHr har ek ba-kamal

    izzat-e-qaum ka hai juz izzat-e-nafs ka sawal

    apne bhi irtiqa ko tu qaum ka irtiqa samajh

    Source:

    Numood-e-Zindagi (Pg. 95)

    • Author: Ali Manzoor Hyderabadi
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now