Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki mar

Nivesh Sahu

waqt ki mar

Nivesh Sahu

MORE BYNivesh Sahu

    zindagī bahut vaqt zaa.e.a huā

    zindagī ko samajhte hue

    ek raste pe girte sañbhalte hue

    vaqt ko qaid karne koshish rahī

    koī lamha magar haath aayā nahīñ

    kitne lamhe kisī ajnabī pal ko banñe meñ zaa.e.a hue

    ye jo lamhe ga.e in buniyād par

    jaisī sochī thī vaisī nazdīk-tar

    ik imārat khaḌī ho ga.ī

    ḳhair jab tak nazar bhar ke meñ dekhtā

    chand lamhe jo guzre to Dhah bhī ga.ī

    jaise miTTī meñ miTTī milnā huā

    jaise lohe se lohe kaTnā huā

    jaise paanī ko paanī nigal jaatā hai

    vaise lamhoñ ne lamhoñ ko chhū kar diyā

    vaqt ko vaqt aisī choTeñ lagīñ

    koī maazī na maujūd kuchh bhī nahīñ sirf maiñ rah gayā

    vo raste pe girte sañbhalte hue

    zindagī ko samajhte hue

    aane vaale paloñ se kahīñ be-ḳhabar

    zindagī bachā vaqt bhī zaa.e.a karte hue

    zindagi ka bahut waqt zaea hua

    zindagi ko samajhte hue

    ek raste pe girte sanbhalte hue

    waqt ko qaid karne ki koshish rahi

    koi lamha magar hath aaya nahin

    kitne lamhe kisi ajnabi pal ko banne mein zaea hue

    ye jo lamhe gae in ki buniyaad par

    jaisi sochi thi waisi ya nazdik-tar

    ek imarat khaDi ho gai

    KHair jab tak nazar bhar ke mein dekhta

    chand lamhe jo guzre to Dhah bhi gai

    jaise miTTi mein miTTi ka milna hua

    jaise lohe se lohe ka kaTna hua

    jaise pani ko pani nigal jata hai

    waise lamhon ne lamhon ko chhu kar diya

    waqt ko waqt ki aisi choTen lagin

    koi mazi na maujud kuchh bhi nahin sirf main rah gaya

    wo hi raste pe girte sanbhalte hue

    zindagi ko samajhte hue

    aane wale palon se kahin be-KHabar

    zindagi ka bacha waqt bhi zaea karte hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now