Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wasf-e-zaban

Saqib Kanpuri

wasf-e-zaban

Saqib Kanpuri

MORE BYSaqib Kanpuri

    ai zabāñ nutq meñ aa kar banī jādū-bayāñ

    ne khole raaz vo ab tak jo the dil meñ nihāñ

    kis qadar shīrīñ haiñ naġhme tere sāz-e-nutq meñ

    ban ga.ī ik tilism-e-turfa rāz-e-nutq meñ

    sho.ala-e-javvāla hai bazm-gāh-e-razm meñ

    sulh-e-ma.anī-ḳhez hai razm-gāh-e-bazm meñ

    kar ban ga.ī lab par papīhe ke fuġhāñ

    koyal banī bāġhoñ meñ kar rāz-dāñ

    ne taqrīr meñ rūh-e-talāqat phūñk

    paa.ī hai shīrāza-e-dil ne tujhī se zindagī

    aap naġhmoñ meñ apne mast hai sarshār hai

    aap chārāgar hai aap bīmār hai

    laḌne vāloñ ke diloñ meñ baḌhā detī hai josh

    sulh-mañdoñ ke dimāġhoñ ko dilā detī hai hosh

    hai marīzoñ ke liye sarmāya-e-taskīñ

    ġham-zada rāñDoñ ban jaatī hai zindagī

    qabza-e-qudrat meñ tere zaḳhm bhī marham bhī hai

    tere chehre se ḳhushī bhī hai numāyāñ ġham bhī hai

    sulā detī hai afsāne sunā kar aish ke

    niiñd uḌā detī hai jalve dikhā kar aish ke

    ai zaban tu nutq mein aa kar bani jadu-bayan

    tu ne khole raaz wo ab tak jo the dil mein nihan

    kis qadar shirin hain naghme tere saz-e-nutq mein

    ban gai tu ek tilism-e-turfa raaz-e-nutq mein

    shoala-e-jawwala hai tu bazm-gah-e-razm mein

    sulh-e-mani-KHez hai tu razm-gah-e-bazm mein

    tu hi ja kar ban gai lab par papihe ke fughan

    tu hi koyal ki bani baghon mein ja kar raaz-dan

    tu ne hi taqrir mein ruh-e-talaqat phunk di

    pai hai shiraaza-e-dil ne tujhi se zindagi

    aap hi naghmon mein apne mast hai sarshaar hai

    aap hi tu chaaragar hai aap hi bimar hai

    laDne walon ke dilon mein tu baDha deti hai josh

    sulh-mandon ke dimaghon ko dila deti hai hosh

    hai marizon ke liye sarmaya-e-taskin tu hi

    gham-zada ranDon ki ban jati hai tu hi zindagi

    qabza-e-qudrat mein tere zaKHm bhi marham bhi hai

    tere chehre se KHushi bhi hai numayan gham bhi hai

    tu sula deti hai afsane suna kar aish ke

    nind uDa deti hai tu jalwe dikha kar aish ke

    Source:

    (Pg. 134)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now