Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

viran ghaar

Mohammad Hasan

viran ghaar

Mohammad Hasan

MORE BYMohammad Hasan

    in vīrān ġhāroñ ko

    dekho ki yahāñ

    insāniyat jur.at kahānī dafn hai

    yahāñ insān ne andhī tāqat se Takkar thī

    hamdardī ke bol

    saare ham-dardoñ ke paañv zanjīr bane the

    aur luTere

    hamāre hañste hue bachchoñ ko

    kuchalte rahne ke liye āzād the

    ik nazar

    in vīrān ġhāroñ ko dekho

    kahīñ vahī ġhaar to nahīñ jin oT se har roz nayā saverā

    luTeroñ ke liye aag

    ham-dardoñ ke liye sharm

    aur dabe-kuchloñ ke liye ummīd nannhī kiran le kar ubhartā hai

    in viran ghaaron ko

    dekho ki yahan

    insaniyat ki jurat ki kahani dafn hai

    yahan insan ne andhi taqat se Takkar li thi

    hamdardi ke bol

    sare ham-dardon ke panw ki zanjir bane the

    aur luTere

    hamare hanste hue bachchon ko

    kuchalte rahne ke liye aazad the

    ek nazar

    in viran ghaaron ko dekho

    kahin wahi ghaar to nahin jin ki oT se har roz naya sawera

    luTeron ke liye aag

    ham-dardon ke liye sharm

    aur dabe-kuchlon ke liye ummid ki nannhi si kiran le kar ubharta hai

    Source:

    Khwab Nagar (Pg. 45)

    • Author: Mohammad Hasan
      • Publisher: Mohammad Hasan
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now