Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wijdan

Bushra Saeed

wijdan

Bushra Saeed

MORE BYBushra Saeed

    jab merī miTTī aur zamīn

    sard safed chādar meñ lipTī

    hijr rut meñ

    sochoñ meñ ḳhizāñ zardī milā

    maiñ ne harf-e-duā

    qirtās-e-qalb par

    terī yaad raushnā.ī se likhā

    aur mohabbat ne

    ashkoñ muhr lagā.ī

    qubūliyat talabgār

    merā junūn

    kisī khaa.ī se

    ek qadam duurī par khaḌā

    āḳhirī samt

    nahīñ dekh saktā

    be-qarār dil

    aur ruḳhsār til

    āsūda ḳhayāl āmezish ko

    miTTī ke murakkab se

    judā karne nusḳha nahīñ jānte

    magar āyat-e-vasl ke dard se

    ye mo.ajiza huā

    mujhe zarūrat aur fitrat se māvarā

    mohabbat ma.anaviyyat

    qutbī sitāra nazar aane lagā

    jab meri miTTi aur zamin

    sard safed chadar mein lipTi

    hijr ki rut mein

    sochon mein KHizan ki zardi mila di

    main ne harf-e-dua

    qirtas-e-qalb par

    teri yaad ki raushnai se likha

    aur mohabbat ne

    ashkon ki muhr lagai

    qubuliyat ka talabgar

    mera junun

    kisi khai se

    ek qadam ki duri par khaDa

    aaKHiri samt

    nahin dekh sakta

    be-qarar dil

    aur ruKHsar ka til

    aasuda KHayal ki aamezish ko

    miTTi ke murakkab se

    juda karne ka nusKHa nahin jaante

    magar aayat-e-wasl ke dard se

    ye moajiza hua

    mujhe zarurat aur fitrat se mawara

    mohabbat ki manawiyyat ka

    qutbi sitara nazar aane laga

    Source:

    Tasteer (Pg. 410)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now