Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

visal

MORE BYAkhtar Husain Jafri

    ajiib vo sail thā ki jis ne

    kanār-e-dariyā sarhadoñ meñ na.e izāfe kiye haiñ taaza zamīn

    ābād kar gayā hai

    ajiib vo dhuup thī jo pesh-az-sahar saa.at ke ghar meñ utrī

    to jaise so.e hue laboñ par

    nishān-e-ulfat lagā ga.ī hai

    ajiib lamha thā jis ne sar par chamakte sūraj ke garm raste pe

    pā-barahna safar kiyā hai

    vo dhuup tere jamāl thī

    vo sail mere ḳhayāl thā

    vo lamha tere visāl thā

    ajib wo sail tha ki jis ne

    kanar-e-dariya ki sarhadon mein nae izafe kiye hain taza zamin

    aabaad kar gaya hai

    ajib wo dhup thi jo pesh-az-sahar ki saat ke ghar mein utri

    to jaise soe hue labon par

    nishan-e-ulfat laga gai hai

    ajib lamha tha jis ne sar par chamakte suraj ke garm raste pe

    pa-barahna safar kiya hai

    wo dhup tere jamal ki thi

    wo sail mere KHayal ka tha

    wo lamha tere visal ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now