Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

visal

Komal Raja

visal

Komal Raja

MORE BYKomal Raja

    suno

    merī mohabbat koī maut nahīñ

    jis zā.iqa chakhnā tum par lāzim ho

    merī mohabbat to āshiqoñ ke shamshān ghaaT par

    ugā vo sāya-dār peḌ hai

    jis Dāloñ par ajnabī parinde apnā ghar banāte haiñ

    aur jis jaḌoñ meñ mere ham-nafas

    apnī vahshatoñ jhulastī raakh Dālte haiñ

    tum jo mere ham-zād ho

    tumhāre liye to merī mohabbat zindagī hai

    jis meñ mānind-e-gulzār taḳhlīq har pahlū

    tumhārā intizārī rahtā hai

    tum jo mere ham-raqs ho

    tum kyoñ apne mehvar se dast-bardār hote ho

    ki tumhāre aisā karne se

    mere nizām-e-shaḳhsī tavāzun bigaḌne lagtā hai

    aur bigaḌte zāviyoñ se jo manzar

    merī āñkheñ dekhtī haiñ

    us meñ isrāfīl apne narsinghe samt durust kartā hai

    aur izrā.īl ek azm-e-azīm se apne par tolne lagtā hai

    be-shak kullu nafsin zā.iqat-ul-maut

    kullu nafsin zā.iqat-ul-maut

    magar merī mohabbat koī maut nahīñ

    jis zā.iqa chakhnā tum par lāzim ho

    suno

    meri mohabbat koi maut nahin

    jis ka zaiqa chakhna tum par lazim ho

    meri mohabbat to aashiqon ke shamshan ghaT par

    uga wo saya-dar peD hai

    jis ki Dalon par ajnabi parinde apna ghar banate hain

    aur jis ki jaDon mein mere ham-nafas

    apni wahshaton ki jhulasti rakh Dalte hain

    tum jo mere ham-zad ho

    tumhaare liye to meri mohabbat zindagi hai

    jis mein manind-e-gulzar taKHliq ka har pahlu

    tumhaara intizari rahta hai

    tum jo mere ham-raqs ho

    tum kyon apne mehwar se dast-bardar hote ho

    ki tumhaare aisa karne se

    mere nizam-e-shaKHsi ka tawazun bigaDne lagta hai

    aur bigaDte zawiyon se jo manzar

    meri aankhen dekhti hain

    us mein israfil apne narsinghe ki samt durust karta hai

    aur izrail ek azm-e-azim se apne par tolne lagta hai

    be-shak kullu nafsin zaiqat-ul-maut

    kullu nafsin zaiqat-ul-maut

    magar meri mohabbat koi maut nahin

    jis ka zaiqa chakhna tum par lazim ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now