Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo

MORE BYAteequllah

    us meñ kitnā gharelū-pan hai us sāñsoñ meñ nuur hai aur chhātiyāñ

    duudh se bharī haiñ us raushan siyāh āñkhoñ ke pālne meñ dūsrā

    mard so rahā hai, maiñ jis sāñsoñ ke shor se baar baar uThtā

    huuñ dekhtā huuñ to mere nazdīk sirf vo hai, sivā.e

    us ke koī nahīñ hai, vo mere ghar meñ hai aur kis darja ajnabī

    hai, abhī use uTh ke duur jaanā hai jism dhonā hai, apne

    bachchoñ ko dekhnā hai safā.ī karnā hai jhūTe bartan bhī māñjhne haiñ

    apne aaqā ke saath phir saarī raat marnā hai

    us mein kitna gharelu-pan hai us ki sanson mein nur hai aur chhatiyan

    dudh se bhari hain us ki raushan siyah aankhon ke palne mein dusra

    mard so raha hai, main jis ki sanson ke shor se bar bar uThta

    hun dekhta hun to mere nazdik sirf wo hai, siwae

    us ke koi nahin hai, wo mere ghar mein hai aur kis darja ajnabi

    hai, abhi use uTh ke dur jaana hai jism dhona hai, apne

    bachchon ko dekhna hai safai karna hai jhuTe bartan bhi manjhne hain

    apne aaqa ke sath phir sari raat marna hai

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 225)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now