Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo

MORE BYShahbaz Nayyar

    dil ke sāhil pe sīpiyāñ chuntī

    ḳhvāb-lamhoñ meñ muskurātī hai

    dilrubā.ī ramz se vāqif

    shoḳh rangoñ jhilmilātī hai

    mere ehsās ke darīche meñ

    chāñdnī vo raqs kartī huī

    maiñ mohabbat se us ko chhūtā huā

    vo mire lams meñ utartī huī

    us apnā.iyat bharī āñkheñ

    dil dhaḌkan pe sher kahtī haiñ

    us ko dekhūñ qarār miltā hai

    varna bechainiyāñ rahtī haiñ

    vo ki baġhdād mahal hai vo

    saañs letī huī ġhazal hai vo

    dil ke sahil pe sipiyan chunti

    KHwab-lamhon mein muskuraati hai

    dilrubai ki ramz se waqif

    shoKH rangon si jhilmilati hai

    mere ehsas ke dariche mein

    chandni si wo raqs karti hui

    main mohabbat se us ko chhuta hua

    wo mere lams mein utarti hui

    us ki apnaiyat bhari aankhen

    dil ki dhaDkan pe sher kahti hain

    us ko dekhun qarar milta hai

    warna bechainiyan si rahti hain

    wo ki baghdad ka mahal hai wo

    sans leti hui ghazal hai wo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now