Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek aag

Kausar Mazhari

wo ek aag

Kausar Mazhari

MORE BYKausar Mazhari

    ik ajab aag hai siine meñ

    jaise ho sīna-e-shamshīr aag

    ik ajab aag hai bātin meñ

    jaise ho nāla-e-shabgīr aag

    jaise ik sho.ala-e-javvāla falak ko chhū le

    sīna-e-sard meñ mere hai vahī aag abhī

    toda-e-barf se jo bujh na sake

    ban ke sho.ala ye baḌhī jaatī hai

    sū-e-aflāk uThī jaatī hai

    us zad meñ haiñ

    ye ashyā-e-nizām-e-ālam

    bas ki ik ḳhauf hai pahlū meñ mire

    apnī aag se afkār na jal jaa.eñ kahīñ

    sochtā huuñ ki duā māñgūñ

    mere ātish-kada-e-sīna ko

    merā rab lutf-o-karam koī chashma kar de

    ek ajab aag si hai sine mein

    jaise ho sina-e-shamshir ki aag

    ek ajab aag si hai baatin mein

    jaise ho nala-e-shabgir ki aag

    jaise ek shoala-e-jawwala falak ko chhu le

    sina-e-sard mein mere hai wahi aag abhi

    toda-e-barf se jo bujh na sake

    ban ke shoala ye baDhi jati hai

    su-e-aflak uThi jati hai

    us ki zad mein hain

    ye ashya-e-nizam-e-alam

    bas ki ek KHauf hai pahlu mein mere

    apni hi aag se afkar na jal jaen kahin

    sochta hun ki dua hi mangun

    mere aatish-kada-e-sina ko

    mera rab lutf-o-karam ka koi chashma kar de

    Source:

    maazii ka aainda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now