Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo laDki

Sulaiman Jazib

wo laDki

Sulaiman Jazib

MORE BYSulaiman Jazib

    ajab laḌkī hai vo laḌkī jise mujh se mohabbat hai

    binā dekhe hue mujh ko guzartā din nahīñ jis

    jo rātoñ meñ mirī ḳhātir bahut bechain rahtī hai

    jo mere jāgne se pahle pahle jaag jaatī hai

    salīqe aur tarīqe se mirī har chiiz rakhtī hai

    maiñ office ke liye niklūñ mujhe vo coat pahnā.e

    maiñ vāpas aa.uuñ office se mujhe dekhe to us ko chain aatā hai

    yaqīnan ḳhud se baḌh kar mujh ko paglī pyaar kartī hai

    laboñ par lams ḳhātir bahut betāb rahtī hai

    ye merā muntazir rahnā koī aadat lagtī hai

    ki jaise lams meñ duniyā sab ḳhushiyāñ muqayyad hoñ

    mujhe paane ḳhātir vo bahut betāb rahtī hai

    jise paane ḳhātir maiñ bahut betāb rahtā huuñ

    vo laḌkī vo ajab laḌkī mire ḳhvāboñ meñ bastī hai

    ajab laDki hai wo laDki jise mujh se mohabbat hai

    bina dekhe hue mujh ko guzarta din nahin jis ka

    jo raaton mein meri KHatir bahut bechain rahti hai

    jo mere jagne se pahle pahle jag jati hai

    saliqe aur tariqe se meri har chiz rakhti hai

    main office ke liye niklun mujhe wo coat pahnae

    main wapas aaun office se mujhe dekhe to us ko chain aata hai

    yaqinan KHud se baDh kar mujh ko pagli pyar karti hai

    labon par lams ki KHatir bahut betab rahti hai

    ye mera muntazir rahna koi aadat si lagti hai

    ki jaise lams mein duniya ki sab KHushiyan muqayyad hon

    mujhe pane ki KHatir wo bahut betab rahti hai

    jise pane ki KHatir main bahut betab rahta hun

    wo laDki wo ajab laDki mere KHwabon mein basti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now