wo sarab jo meri jaan mein hai
ai ġhazāl-e-shab
tirī pyaas kaise bujhā.ūñ maiñ
ki dikhā.ūñ maiñ vo sarāb jo mirī jaañ meñ hai
vo sarāb sāhir-e-ḳhauf hai
jo sahar se shaam ke rah-guzar
meñ fareb-e-rah-rav-e-sāda hai
vo sarāb-zāda sarāb-gar ki hazār sūrat-e-nau-ba-nau
meñ qadam qadam pe sitāda hai
vo jo ġhālib-o-hama-gīr dasht-e-gumāñ meñ hai
mire dil meñ jaise yaqīn ban ke samā gayā
mire hast-o-būd pe chhā gayā
ai ġhazāl-e-shab
usī fitna-kār se chhup ga.e
mire der-o-zūd bhī ḳhvāb meñ
mire nazd-o-dūr hijāb meñ
vo hijāb kaise uThā.ūñ maiñ jo kashīda qālib-e-dil meñ hai
ki maiñ dekh pā.ūñ darūn-e-jāñ
jahāñ ḳhauf-o-ġham kā nishāñ nahīñ
jahāñ ye sarāb-e-ravāñ nahīñ
ai ġhazāl-e-shab
ai ghazal-e-shab
teri pyas kaise bujhaun main
ki dikhaun main wo sarab jo meri jaan mein hai
wo sarab sahir-e-KHauf hai
jo sahar se sham ke rah-guzar
mein fareb-e-rah-raw-e-sada hai
wo sarab-zada sarab-gar ki hazar surat-e-nau-ba-nau
mein qadam qadam pe sitada hai
wo jo ghaalib-o-hama-gir dasht-e-guman mein hai
mere dil mein jaise yaqin ban ke sama gaya
mere hast-o-bud pe chha gaya
ai ghazal-e-shab
usi fitna-kar se chhup gae
mere der-o-zud bhi KHwab mein
mere nazd-o-dur hijab mein
wo hijab kaise uThaun main jo kashida qalib-e-dil mein hai
ki main dekh paun darun-e-jaan
jahan KHauf-o-gham ka nishan nahin
jahan ye sarab-e-rawan nahin
ai ghazal-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.