wolf-main
aadhī raat huī
aur puurā chāñd nikal aayā
sote meñ
hoñT chiir ke
us ke daañt baḌhe
aur nāḳhun nikle
tez nukīle baḌe baḌe!
phir saare badan par
baal hī baal ug aa.e!
gaañv se bāhar
jañgal meñ
bheḌiye mil ke chillā.e!
vo apne bistar se uTh kar
khiḌkī kuud gayā!
paas ke ghar meñ
sote meñ koī bachcha chauñk uThā!
duur galī ke nukkaḌ par
ik kuttā bhauñk uThā!
phir duur
bahut hī duur kahīñ
ik chīḳh sunā.ī dii!
phir us ke ḳhālī bistar meñ
ik laash dikhā.ī dii!
phir bādal ghir aa.e
aur saarā manzar Duub gayā!!
sūraj ne aa kar dekhā to
ḳhālī bistar chamak rahā thā
gahrī niiñd meñ
vo apne bistar se nīche luḌhak gayā thā!!
aadhi raat hui
aur pura chand nikal aaya
sote mein
honT chir ke
us ke dant baDhe
aur naKHun nikle
tez nukile baDe baDe!
phir sare badan par
baal hi baal ug aae!
ganw se bahar
jangal mein
bheDiye mil ke chillae!
wo apne bistar se uTh kar
khiDki kud gaya!
pas ke ghar mein
sote mein koi bachcha chaunk uTha!
dur gali ke nukkaD par
ek kutta bhaunk uTha!
phir dur
bahut hi dur kahin
ek chiKH sunai di!
phir us ke KHali bistar mein
ek lash dikhai di!
phir baadal ghir aae
aur sara manzar Dub gaya!!
suraj ne aa kar dekha to
KHali bistar chamak raha tha
gahri nind mein
wo apne bistar se niche luDhak gaya tha!!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 248)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.