yaad

MORE BYJigar Moradabadi

  aa.ī jab un yaad to aatī chalī ga.ī

  har naqsh-e-mā-sivā ko miTātī chalī ga.ī

  har manzar-e-jamāl dikhātī chalī ga.ī

  jaise unhīñ ko sāmne laatī chalī ga.ī

  har vāqi.a qarīb-tar aatā chalā gayā

  har shai hasīn-tar nazar aatī chalī ga.ī

  vīrāna-e-hayāt ke ek ek goshe meñ

  jogan koī sitār bajātī chalī ga.ī

  dil phuñk rahā thā ātish-e-zabt-e-firāq se

  dīpak ko mai-gusār banātī chalī ga.ī

  be-harf o be-hikāyat o be-sāz o be-sadā

  rag rag meñ naġhma ban ke samātī chalī ga.ī

  jitnā kuchh sukūn aatā chalā gayā

  utnā be-qarār banātī chalī ga.ī

  kaifiyyatoñ ko hosh aatā chalā gayā

  be-kaifiyoñ ko niiñd aatī chalī ga.ī

  kyā kyā na husn-e-yār se shikve the ishq ko

  kyā kyā na sharmsār banātī chalī ga.ī

  tafrīq-e-husn-o-ishq jhagḌā nahīñ rahā

  tam.īz-e-qurb-o-buad miTātī chalī ga.ī

  maiñ tishna-kām-e-shauq thā piitā chalā gayā

  vo mast añkhḌiyoñ se pilātī chalī ga.ī

  ik husn-e-be-jihat fazā-e-basīt meñ

  uḌtī ga.ī mujhe bhī uḌātī chalī ga.ī

  phir maiñ huuñ aur ishq betābiyāñ 'jigar'

  achchhā huā vo niiñd maatī chalī ga.ī

  aai jab un ki yaad to aati chali gai

  har naqsh-e-ma-siwa ko miTati chali gai

  har manzar-e-jamal dikhati chali gai

  jaise unhin ko samne lati chali gai

  har waqia qarib-tar aata chala gaya

  har shai hasin-tar nazar aati chali gai

  virana-e-hayat ke ek ek goshe mein

  jogan koi sitar bajati chali gai

  dil phunk raha tha aatish-e-zabt-e-firaq se

  dipak ko mai-gusar banati chali gai

  be-harf o be-hikayat o be-saz o be-sada

  rag rag mein naghma ban ke samati chali gai

  jitna hi kuchh sukun sa aata chala gaya

  utna hi be-qarar banati chali gai

  kaifiyyaton ko hosh sa aata chala gaya

  be-kaifiyon ko nind si aati chali gai

  kya kya na husn-e-yar se shikwe the ishq ko

  kya kya na sharmsar banati chali gai

  tafriq-e-husn-o-ishq ka jhagDa nahin raha

  tamiz-e-qurb-o-buad miTati chali gai

  main tishna-kaam-e-shauq tha pita chala gaya

  wo mast ankhDiyon se pilati chali gai

  ek husn-e-be-jihat ki faza-e-basit mein

  uDti gai mujhe bhi uDati chali gai

  phir main hun aur ishq ki betabiyan 'jigar'

  achchha hua wo nind ki mati chali gai

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Unknown

  Unknown

  Source:

  • Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 163)
  • Author : Jigar Muradabadi
  • Publication : Educational Publishing House (2011)
  • Edition : 2011
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY