Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye aurten

Akhtar Payami

ye aurten

Akhtar Payami

MORE BYAkhtar Payami

    soch lo soch lo jiine ye andāz nahīñ

    apnī bāñhoñ yahī rañg numāyāñ na karo

    husn ḳhud zīnat-e-mahfil hai charāġhāñ na karo

    nīm-uryāñ badan aur ubharte siine

    tañg aur reshmī malbūs dhaḌakte siine

    taar jab TuuT ga.e saaz koī saaz nahīñ

    tum to aurat ho magar jins-e-girāñ ban na sakīñ

    aur āñkhoñ ye gardish ye chhalakte hue jaam

    aur kūlhoñ lachak mast chakoroñ ḳhirām

    sham.a jo der se jaltī hai na bujhne paa.e

    kārvāñ ziist is tarah na luTne paa.e

    tum to ḳhud apnī manzil nishāñ ban na sakīñ

    raat kuchh bhiig chalī duur sitāre TuuTe

    tum to aurat ke jazbāt ko kho detī ho

    tāliyoñ isī naddī meñ Dubo detī ho

    muskurāhaT sar-e-bāzār bikā kartī hai

    zindagī yaas se qadmoñ pe jhukā kartī hai

    aur sailāb umaDtā hai sahāre TuuTe

    duur haT jaao nigāheñ bhī sulag uTThī haiñ

    varzishoñ ye numā.ish bahut dekh chukā

    pinDaliyoñ ye numā.ish bahut dekh chukā

    jaao ab dūsre haivān yahāñ ā.eñge

    bhes badle hue insān yahāñ ā.eñge

    dekhtī kyā ho ye bāñheñ bhī sulag uTThī haiñ

    soch lo soch lo jiine ye andāz nahīñ

    soch lo soch lo jine ka ye andaz nahin

    apni banhon ka yahi rang numayan na karo

    husn KHud zinat-e-mahfil hai charaghan na karo

    nim-uryan sa badan aur ubharte sine

    tang aur reshmi malbus dhaDakte sine

    tar jab TuT gae saz koi saz nahin

    tum to aurat ho magar jins-e-giran ban na sakin

    aur aankhon ki ye gardish ye chhalakte hue jam

    aur kulhon ki lachak mast chakoron ka KHiram

    shama jo der se jalti hai na bujhne pae

    karwan zist ka is tarah na luTne pae

    tum to KHud apni hi manzil ka nishan ban na sakin

    raat kuchh bhig chali dur sitare TuTe

    tum to aurat hi ke jazbaat ko kho deti ho

    taliyon ki isi naddi mein Dubo deti ho

    muskurahaT sar-e-bazar bika karti hai

    zindagi yas se qadmon pe jhuka karti hai

    aur sailab umaDta hai sahaare TuTe

    dur haT jao nigahen bhi sulag uTThi hain

    warzishon ki ye numaish tu bahut dekh chuka

    pinDaliyon ki ye numaish tu bahut dekh chuka

    jao ab dusre haiwan yahan aaenge

    bhes badle hue insan yahan aaenge

    dekhti kya ho ye banhen bhi sulag uTThi hain

    soch lo soch lo jine ka ye andaz nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now